samundron ki tarah hai khabar bataaun main
chhupa saki na khushi dard bhool jaaun main
charaagh roz hi but mein sada jalaati hoon
usi diye ki tarah khoob muskuraau'n main
tamaam log mile aur baat chhoti thi
ghadi-ghadi hi use phir kise bataaun main
kali khili na khili raat mein mehkati hai
junoon kali sa dikhe aur muskuraau'n main
judaaiyaan to likhi hi hui muqaddar mein
kabhi khafa na hui hijr mein bataaun main
rah-e-wafa se manohar"agar sabhi jeete
vo ek chaah meri hai kise sunaau main
समुंदरों की तरह है ख़बर बताऊँ मैं
छुपा सकी न ख़ुशी दर्द भूल जाऊँ मैं
चराग़ रोज़ ही बुत में सदा जलाती हूँ
उसी दिए की तरह ख़ूब मुस्कुराऊँ मैं
तमाम लोग मिले और बात छोटी थी
घड़ी-घड़ी ही उसे फिर किसे बताऊँ मैं
कली खिली न खिली रात में महकती है
जुनूँ कली सा दिखे और मुस्कुराऊँ मैं
जुदाइयाँ तो लिखी ही हुईं मुक़द्दर में
कभी ख़फ़ा न हुई हिज्र में बताऊँ मैं
रह-ए-वफ़ा से "मनोहर"अगर सभी जीते
वो एक चाह मेरी है किसे सुनाऊँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Hijrat Shayari Shayari