zehan mein hai mulaqaat teri | ज़ेहन में है मुलाक़ात तेरी

  - Manohar Shimpi

zehan mein hai mulaqaat teri
yaad hai aaj bhi baat teri

itr jaise mahak khoob aati
tez jab tu kare baat teri

yaad tu khoob aati mujhe hi
phir na bhoolun haseen raat teri

kyun jhuki thi tabhi vo nigaahen
be-zubaan to na thi baat teri

chand lamhe lage sirf milne
hijr mein kyun kati raat teri

door rahke yahin hai lage tu
kab sooni paas se baat teri

ab na koi mulaqaat baatein
lafz thaame rahein baat teri

dekhte hi raha khaamoshi se
shaam-e-gham se bhari raat teri

khwaab aise manohar na dekhe
waqt-be-waqt baaraat teri

ज़ेहन में है मुलाक़ात तेरी
याद है आज भी बात तेरी

इत्र जैसे महक ख़ूब आती
तेज़ जब तू करे बात तेरी

याद तू ख़ूब आती मुझे ही
फिर न भूलूँ हसीं रात तेरी

क्यों झुकी थी तभी वो निगाहें
बेज़ुबाँ तो न थी बात तेरी

चंद लम्हें लगे सिर्फ़ मिलने
हिज्र में क्यों कटी रात तेरी

दूर रहके यहीं है लगे तू
कब सुनी पास से बात तेरी

अब न कोई मुलाक़ात बातें
लफ़्ज़ थामे रहें बात तेरी

देखते ही रहा ख़ामुशी से
शाम-ए-ग़म से भरी रात तेरी

ख़्वाब ऐसे मनोहर न देखे
वक़्त-बे-वक़्त बारात तेरी

  - Manohar Shimpi

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari