saath mere kabhi chala hota
to tujhe dard ka pata hota
khwaab toote hue mile mujhko
kaash pehle kabhi jaga hota
main na hota dukhi bichhadne par
yaar dil se gale laga hota
dekh tere qadam nahin badhte
chhod jaana agar saza hota
ek thokar lagi mujhe phir se
kaash pehla nishaan mita hota
phir kahi ek roz jeeta main
yaar thoda agar bacha hota
maut ka hai maneesh dukh kisko
laash ka to ata-pata hota
साथ मेरे कभी चला होता
तो तुझे दर्द का पता होता
ख़्वाब टूटे हुए मिले मुझको
काश पहले कभी जगा होता
मैं न होता दुखी बिछड़ने पर
यार दिल से गले लगा होता
देख तेरे क़दम नहीं बढ़ते
छोड़ जाना अगर सज़ा होता
एक ठोकर लगी मुझे फिर से
काश पहला निशाँ मिटा होता
फिर कहीं एक रोज़ जीता मैं
यार थोड़ा अगर बचा होता
मौत का है 'मनीष' दुख किसको
लाश का तो अता-पता होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manish watan
our suggestion based on Manish watan
As you were reading Maut Shayari Shayari