dilruba ham jafaa se darte hain
ishq kii intihaa se darte hain
khauf hamko nahin qaza ka magar
sirf ham baddua se darte hain
ho na seena sipar jo toofaan se
aise ham na-khuda se darte hain
jab se toota hai dil muhabbat mein
tab se rang-e-hina se darte hain
sach ko sooli chadhate hain jo bhi
kyoon vo apni saza se darte hain
apni tahzeeb se hai pyaar jinhen
maghribi behaya se darte hain
kya zamaana hamein daraaega
ham to meena khuda se darte hain
दिलरुबा हम जफ़ा से डरते हैं
इश्क़ की इन्तिहा से डरते हैं
ख़ौफ़ हमको नहीं क़ज़ा का मगर
सिर्फ़ हम बद्दुआ से डरते हैं
हो न सीना सिपर जो तूफ़ाॅं से
ऐसे हम ना-ख़ुदा से डरते हैं
जब से टूटा है दिल मुहब्बत में
तब से रंग-ए-हिना से डरते हैं
सच को सूली चढ़ाते हैं जो भी
क्यूॅं वो अपनी सज़ा से डरते हैं
अपनी तहज़ीब से है प्यार जिन्हें
मग़रिबी बेहया से डरते हैं
क्या ज़माना हमें डराएगा
हम तो 'मीना' ख़ुदा से डरते हैं
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari