kyun chale aaye ham aashiyaan chhodkar
gaav ki vo haseen vaadiyaan chhodkar
phir vida ho gaye takhtiyan chhodkar
aur thodi bahut nekiyaan chhodkar
aa gaya hai bulaava gulon ka unhen
ja rahe hain bhanwar titliyan chhodkar
ishq mein mubtala ho gaya woh bhi ab
kaise jaayengi ye hichakiyaan chhodkar
kyun koi jaaye aakhir adaalat mein jab
milta kuchh bhi nahin peshiyaan chhod kar
kab ye rahti sada hain kisi ke liye
log jaate hain phir kursiyaan chhodkar
sirf ghar hi nahin chhodteen betiyaan
apni jaati hain vo shokhiyaan chhodkar
क्यों चले आए हम आशियाँ छोड़कर
गाँव की वो हसीं वादियाँ छोड़कर
फिर विदा हो गए तख़्तियाँ छोड़कर
और थोड़ी बहुत नेकियाँ छोड़कर
आ गया है बुलावा गुलों का उन्हें
जा रहे हैं भँवर तितलियाँ छोड़कर
इश्क़ में मुब्तला हो गया वह भी अब
कैसे जाएँगी ये हिचकियाँ छोड़कर
क्यूँ कोई जाए आख़िर अदालत में जब
मिलता कुछ भी नहीं पेशियाँ छोड़ कर
कब ये रहती सदा हैं किसी के लिए
लोग जाते हैं फिर कुर्सियाँ छोड़कर
सिर्फ़ घर ही नहीं छोड़तीं बेटियाँ
अपनी जाती हैं वो शोख़ियाँ छोड़कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading Ishq Shayari Shayari