ai abr-e-tar tu aur kisi samt ko baras | ऐ अब्र-ए-तर तू और किसी सम्त को बरस - Meer Taqi Meer

ai abr-e-tar tu aur kisi samt ko baras
is mulk mein hamaari hai ye chashm-e-tar hi bas

hirmaan to dekh phool bikhere thi kal saba
ik burg-e-gul gira na jahaan tha mera qafas

mizgaan bhi bah gaeein mere rone se chashm ki
sailaab mauj maare to thehre hai koi khas

majnoon ka dil hoon mahmil-e-laila se hoon juda
tanhaa phiroon hoon dasht mein jun naala-e-jars

ai giryaa us ke dil mein asar khoob hi kiya
rota hoon jab main saamne us ke toode hai hans

us ki zabaan ke ohde se kyunkar nikal sakoon
kehta hoon ek main to sunaata hai mujh ko das

hairaan hoon meer naz'a mein ab kya karoon bhala
ahwaal-e-dil bahut hai mujhe furqat ik nafs

ऐ अब्र-ए-तर तू और किसी सम्त को बरस
इस मुल्क में हमारी है ये चश्म-ए-तर ही बस

हिरमाँ तो देख फूल बिखेरे थी कल सबा
इक बर्ग-ए-गुल गिरा न जहाँ था मिरा क़फ़स

मिज़्गाँ भी बह गईं मिरे रोने से चश्म की
सैलाब मौज मारे तो ठहरे है कोई ख़स

मजनूँ का दिल हूँ महमिल-ए-लैला से हूँ जुदा
तन्हा फिरूँ हूँ दश्त में जूँ नाला-ए-जरस

ऐ गिर्या उस के दिल में असर ख़ूब ही किया
रोता हूँ जब मैं सामने उस के तूदे है हँस

उस की ज़बाँ के ओहदे से क्यूँकर निकल सकूँ
कहता हूँ एक मैं तो सुनाता है मुझ को दस

हैराँ हूँ 'मीर' नज़्अ' में अब क्या करूँ भला
अहवाल-ए-दिल बहुत है मुझे फ़ुर्सत इक नफ़स

- Meer Taqi Meer
2 Likes

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari