chaak par chaak hua jun jun sulaaya ham ne
is garebaan hi se ab haath uthaya ham ne
hasrat-e-lutf-e-azeezaan-e-chaman jee mein rahi
sar pe dekha na gul-o-sarv ka saaya ham ne
jee mein tha arsh pe ja baandhie takiya lekin
bistara khaak hi mein ab to bichaaya ham ne
ba'ad yak umr kahi tum ko jo tanhaa paaya
darte darte hi kuchh ahvaal sunaaya ham ne
yaa faqat rekhta hi kehne na aaye the ham
chaar din ye bhi tamasha sa dikhaaya ham ne
baare kal baagh mein ja murgh-e-chaman se mil kar
khoobi-e-gul ka maza khoob udaaya ham ne
taazgi daagh ki har shaam ko be-hech nahin
aah kya jaane diya kis ka bujhaaya ham ne
dasht-o-kohsaar mein sar maar ke chande tujh bin
qais-o-farhad ko phir yaad dilaayaa ham ne
bekli se dil-e-betaab ki mar guzre the
so tah-e-khaak bhi aaraam na paaya ham ne
ye sitam taaza hua aur ki paaiz mein meer
dil khas-o-khaar se naachaar lagaaya ham ne
चाक पर चाक हुआ जूँ जूँ सुलाया हम ने
इस गरेबाँ ही से अब हाथ उठाया हम ने
हसरत-ए-लुत्फ़-ए-अज़ीज़ान-ए-चमन जी में रही
सर पे देखा न गुल-ओ-सर्व का साया हम ने
जी में था अर्श पे जा बाँधिए तकिया लेकिन
बिस्तरा ख़ाक ही में अब तो बिछाया हम ने
बा'द यक उम्र कहीं तुम को जो तन्हा पाया
डरते डरते ही कुछ अहवाल सुनाया हम ने
याँ फ़क़त रेख़्ता ही कहने न आए थे हम
चार दिन ये भी तमाशा सा दिखाया हम ने
बारे कल बाग़ में जा मुर्ग़-ए-चमन से मिल कर
ख़ूबी-ए-गुल का मज़ा ख़ूब उड़ाया हम ने
ताज़गी दाग़ की हर शाम को बे-हेच नहीं
आह क्या जाने दिया किस का बुझाया हम ने
दश्त-ओ-कोहसार में सर मार के चंदे तुझ बिन
क़ैस-ओ-फ़रहाद को फिर याद दिलाया हम ने
बेकली से दिल-ए-बेताब की मर गुज़रे थे
सो तह-ए-ख़ाक भी आराम न पाया हम ने
ये सितम ताज़ा हुआ और कि पाईज़ में 'मीर'
दिल ख़स-ओ-ख़ार से नाचार लगाया हम ने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Masti Shayari Shayari