jin ke liye apne to yun jaan nikalte hain | जिन के लिए अपने तो यूँ जान निकलते हैं - Meer Taqi Meer

jin ke liye apne to yun jaan nikalte hain
is raah mein ve jaise anjaan nikalte hain

kya teer-e-sitam us ke seene mein bhi toote the
jis zakham ko cheeroon hoon paikaan nikalte hain

mat sahal hamein jaano firta hai falak barson
tab khaak ke parde se insaan nikalte hain

kis ka hai qimaash aisa goodad bhare hain saare
dekho na jo logon ke deewaan nikalte hain

gah lohoo tapkata hai gah lakht-e-dil aankhon se
ya tukde jigar hi ke har aan nikalte hain

kariye to gila kis se jaisi thi hamein khwaahish
ab vaise hi ye apne armaan nikalte hain

jaagah se bhi jaate ho munh se bhi khashin ho kar
ve harf nahin hain jo shaayaan nikalte hain

so kahe ko apni tu jogi ki si feri hai
barson mein kabhu idhar ham aan nikalte hain

un aaina-ruyon ke kya meer bhi aashiq hain
jab ghar se nikalte hain hairaan nikalte hain

जिन के लिए अपने तो यूँ जान निकलते हैं
इस राह में वे जैसे अंजान निकलते हैं

क्या तीर-ए-सितम उस के सीने में भी टूटे थे
जिस ज़ख़्म को चीरूँ हूँ पैकान निकलते हैं

मत सहल हमें जानो फिरता है फ़लक बरसों
तब ख़ाक के पर्दे से इंसान निकलते हैं

किस का है क़िमाश ऐसा गूदड़ भरे हैं सारे
देखो न जो लोगों के दीवान निकलते हैं

गह लोहू टपकता है गह लख़्त-ए-दिल आँखों से
या टुकड़े जिगर ही के हर आन निकलते हैं

करिए तो गिला किस से जैसी थी हमें ख़्वाहिश
अब वैसे ही ये अपने अरमान निकलते हैं

जागह से भी जाते हो मुँह से भी ख़शिन हो कर
वे हर्फ़ नहीं हैं जो शायान निकलते हैं

सो काहे को अपनी तू जोगी की सी फेरी है
बरसों में कभू ईधर हम आन निकलते हैं

उन आईना-रूयों के क्या 'मीर' भी आशिक़ हैं
जब घर से निकलते हैं हैरान निकलते हैं

- Meer Taqi Meer
2 Likes

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari