daaman-e-koh mein jo mein daadh maar roya
ik abr waan se uth kar be-ikhtiyaar roya
padta na tha bharosa ahad-e-wafa-e-gul par
murgh-e-chaman na samjha main to hazaar roya
har gul zameen yaa ki rone hi ki jagah thi
maanind-e-abr har ja main zaar zaar roya
thi maslahat ki ruk kar hijraan mein jaan deeje
dil khol kar na gham mein main ek baar roya
ik izz ishq is ka asbaab-e-sad-alam tha
kal meer se bahut main ho kar do-chaar roya
दामान-ए-कोह में जो में डाढ़ मार रोया
इक अब्र वाँ से उठ कर बे-इख़्तियार रोया
पड़ता न था भरोसा अहद-ए-वٖफ़ा-ए-गुल पर
मुर्ग़-ए-चमन न समझा मैं तो हज़ार रोया
हर गुल ज़मीन याँ की रोने ही की जगह थी
मानिंद-ए-अब्र हर जा मैं ज़ार ज़ार रोया
थी मस्लहत कि रुक कर हिज्राँ में जान दीजे
दिल खोल कर न ग़म में मैं एक बार रोया
इक इज्ज़ इश्क़ इस का अस्बाब-ए-सद-अलम था
कल 'मीर' से बहुत मैं हो कर दो-चार रोया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Dard Shayari Shayari