har-dam taraf hai vaise mizaaj karkht ka | हर-दम तरफ़ है वैसे मिज़ाज करख़्त का - Meer Taqi Meer

har-dam taraf hai vaise mizaaj karkht ka
tukda mera jigar hai kaho sang sakht ka

sabzaan in roo ki jahaan jalvaa-gaah thi
ab dekhiye to waan nahin saaya darakht ka

jon barg-ha-e-laala pareshaan ho gaya
mazkoor kiya hai ab jigar lakht lakht ka

dilli mein aaj bheek bhi milti nahin unhen
tha kal talak dimaagh jinhen taaj-o-takht ka

khaak-e-siyah se mein jo barabar hua hoon meer
saaya pada hai mujh pe kaso teera-bakht ka

हर-दम तरफ़ है वैसे मिज़ाज करख़्त का
टुकड़ा मिरा जिगर है कहो संग सख़्त का

सब्ज़ान इन रू की जहाँ जल्वा-गाह थी
अब देखिए तो वाँ नहीं साया दरख़्त का

जों बर्ग-हा-ए-लाला परेशान हो गया
मज़कूर किया है अब जिगर लख़्त लख़्त का

दिल्ली में आज भीक भी मिलती नहीं उन्हें
था कल तलक दिमाग़ जिन्हें ताज-ओ-तख़्त का

ख़ाक-ए-सियह से में जो बराबर हुआ हूँ 'मीर'
साया पड़ा है मुझ पे कसो तीरा-बख़्त का

- Meer Taqi Meer
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari