ishq mein nay khauf-o-khatr chahiye
jaan ke dene ko jigar chahiye
qaabil-e-aaghosh sitam deedgaan
ashk sa paakizaa guhar chahiye
haal ye pahuncha hai ki ab zof se
uthte palak ek pahar chahiye
kam hai shanaasa-e-zar-e-daag-e-dil
us ke parkhne ko nazar chahiye
saikdon marte hain sada phir bhi yaa
waqia ik shaam-o-sehar chahiye
ishq ke aasaar hain ai bul-hawas
daagh b-dil-e-dast basar chahiye
shart saleeqa hai har ik amar mein
aib bhi karne ko hunar chahiye
jaise jars paara gulo kya karoon
naala-o-afghaan mein asar chahiye
khauf qayamat ka yahi hai ki meer
ham ko jiya baar-e-digar chahiye
इश्क़ में नय ख़ौफ़-ओ-ख़तर चाहिए
जान के देने को जिगर चाहिए
क़ाबिल-ए-आग़ोश सितम दीदगाँ
अश्क सा पाकीज़ा गुहर चाहिए
हाल ये पहुँचा है कि अब ज़ोफ़ से
उठते पलक एक पहर चाहिए
कम है शनासा-ए-ज़र-ए-दाग़-ए-दिल
उस के परखने को नज़र चाहिए
सैंकड़ों मरते हैं सदा फिर भी याँ
वाक़िआ' इक शाम-ओ-सहर चाहिए
इश्क़ के आसार हैं ऐ बुल-हवस
दाग़ ब-दिल-ए-दस्त बसर चाहिए
शर्त सलीक़ा है हर इक अमर में
ऐब भी करने को हुनर चाहिए
जैसे जरस पारा गुलो क्या करूँ
नाला-ओ-अफ़्ग़ाँ में असर चाहिए
ख़ौफ़ क़यामत का यही है कि 'मीर'
हम को जिया बार-ए-दिगर चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Dar Shayari Shayari