jo main na hoon to karo tark naaz karne ko | जो मैं न हूँ तो करो तर्क नाज़ करने को

  - Meer Taqi Meer

jo main na hoon to karo tark naaz karne ko
koi to chahiye jee bhi niyaaz karne ko

na dekho guncha-e-nargis ki or khulte mein
jo dekho us ki mizaa neem-baaz karne ko

na soye neend bhar is tangna mein ta na mooe
ki aah ja na thi pa ke daraaz karne ko

jo be-dimaaghi yahi hai to ban chuki apni
dimaagh chahiye har ik se saaz karne ko

vo garm naaz ho to khalk par tarahhum kar
pukaare aap ajal ehtiraaz karne ko

jo aansu aaveñ to pee ja ki ta rahe parda
bala hai chashm-e-tar ifshaa-e-raaz karne ko

samand naaz se tere bahut hai arsa tang
tanik to tark kar is tark taaz karne ko

basaan-e-zar hai mera jism-e-zaar saara zard
asar tamaam hai dil ke gudaaz karne ko

hanooz ladke ho tum qadar meri kya jaano
shu'ur chahiye hai imtiyaaz karne ko

agarche gul bhi numood us ke rang karta hai
va-lek chahiye hai munh bhi naaz karne ko

ziyaada had se thi taaboot-e-'meer par kasrat
hua na waqt musaaid namaaz karne ko

जो मैं न हूँ तो करो तर्क नाज़ करने को
कोई तो चाहिए जी भी नियाज़ करने को

न देखो ग़ुंचा-ए-नर्गिस की ओर खुलते में
जो देखो उस की मिज़ा नीम-बाज़ करने को

न सोए नींद भर इस तंगना में ता न मूए
कि आह जा न थी पा के दराज़ करने को

जो बे-दिमाग़ी यही है तो बन चुकी अपनी
दिमाग़ चाहिए हर इक से साज़ करने को

वो गर्म नाज़ हो तो ख़ल्क़ पर तरह्हुम कर
पुकारे आप अजल एहतिराज़ करने को

जो आँसू आवें तो पी जा कि ता रहे पर्दा
बला है चश्म-ए-तर इफ़शा-ए-राज़ करने को

समंद नाज़ से तेरे बहुत है अर्सा तंग
तनिक तो तर्क कर इस तर्क ताज़ करने को

बसान-ए-ज़र है मिरा जिस्म-ए-ज़ार सारा ज़र्द
असर तमाम है दिल के गुदाज़ करने को

हनूज़ लड़के हो तुम क़दर मेरी क्या जानो
शुऊ'र चाहिए है इम्तियाज़ करने को

अगरचे गुल भी नुमूद उस के रंग करता है
व-लेक चाहिए है मुँह भी नाज़ करने को

ज़्यादा हद से थी ताबूत-ए-'मीर' पर कसरत
हुआ न वक़्त मुसाइद नमाज़ करने को

  - Meer Taqi Meer

Khwab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Khwab Shayari Shayari