mausam-e-gul aaya hai yaaro kuchh meri tadbeer karo
yaani saaya-e-sarv-o-gul mein ab mujh ko zanjeer karo
pesh-e-saayat kya jaaye hai haq hai meri taraf so hai
main to chup baitha hoon yaksu gar koi taqreer karo
kaan laga rehta hai gair us shokh kamaan abroo ke bahut
is to gunaah-e-azeem pe yaaro naak mein us ki teer karo
fer diye hain dil logon ke maalik ne kuchh meri taraf
tum bhi tuk ai aah-o-naala qalbon mein taaseer karo
aage hi aazurda hain ham dil hain shikasta hamaare sab
harf-e-ranjish beech mein la kar aur na ab dil-geer karo
sher kiye mauzoon to aise jin se khush hain saahib-e-dil
roven kudhen jo yaad karein ab aisa tum kuchh meer karo
मौसम-ए-गुल आया है यारो कुछ मेरी तदबीर करो
यानी साया-ए-सर्व-ओ-गुल में अब मुझ को ज़ंजीर करो
पेश-ए-सआयत क्या जाए है हक़ है मेरी तरफ़ सो है
मैं तो चुप बैठा हूँ यकसू गर कोई तक़रीर करो
कान लगा रहता है ग़ैर उस शोख़ कमाँ अबरू के बहुत
इस तो गुनाह-ए-अज़ीम पे यारो नाक में उस की तीर करो
फेर दिए हैं दिल लोगों के मालिक ने कुछ मेरी तरफ़
तुम भी टुक ऐ आह-ओ-नाला क़ल्बों में तासीर करो
आगे ही आज़ुर्दा हैं हम दिल हैं शिकस्ता हमारे सब
हर्फ़-ए-रंजिश बीच में ला कर और न अब दिल-गीर करो
शेर किए मौज़ूँ तो ऐसे जिन से ख़ुश हैं साहिब-ए-दिल
रोवें कुढ़ें जो याद करें अब ऐसा तुम कुछ 'मीर' करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Khushi Shayari Shayari