qayamat hain ye chaspaan jaame waale | क़यामत हैं ये चस्पाँ जामे वाले - Meer Taqi Meer

qayamat hain ye chaspaan jaame waale
gulon ne jin ki khaatir khirke dale

vo kaala chor hai khaal-e-rukh-e-yaar
ki sau aankhon mein dil ho to chura le

nahin uthata dil-e-mahzoon ka maatam
khuda hi is museebat se nikale

kahaan tak door baithe baithe kahiye
kabhu to paas hum ko bhi bula le

dila baazi na kar un gesuon se
nahin aasaan khilaane saanp kaale

tapish ne dil jigar ki maar daala
baghal mein dushman apne hum ne pale

na mahke boo-e-gul ai kaash yak-chand
abhi zakham-e-jigar saare hain aale

kise qaid-e-qafas mein yaad gul ki
pade hain ab to jeene hi ke laale

sataaya meer gham-kash ko kinhoon ne
ki phir ab arsh tak jaate hain naale

क़यामत हैं ये चस्पाँ जामे वाले
गुलों ने जिन की ख़ातिर ख़िरक़े डाले

वो काला चोर है ख़ाल-ए-रुख़-ए-यार
कि सौ आँखों में दिल हो तो चुरा ले

नहीं उठता दिल-ए-महज़ूँ का मातम
ख़ुदा ही इस मुसीबत से निकाले

कहाँ तक दूर बैठे बैठे कहिए
कभू तो पास हम को भी बुला ले

दिला बाज़ी न कर उन गेसुओं से
नहीं आसाँ खिलाने साँप काले

तपिश ने दिल जिगर की मार डाला
बग़ल में दुश्मन अपने हम ने पाले

न महके बू-ए-गुल ऐ काश यक-चंद
अभी ज़ख़्म-ए-जिगर सारे हैं आले

किसे क़ैद-ए-क़फ़स में याद गुल की
पड़े हैं अब तो जीने ही के लाले

सताया 'मीर' ग़म-कश को किन्हों ने
कि फिर अब अर्श तक जाते हैं नाले

- Meer Taqi Meer
0 Likes

Dushmani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Dushmani Shayari Shayari