raftaar-o-taur-o-tarz-o-ravish ka ye dhab hai kya
pehle sulook aise hi tere the ab hai kya
ham dil-zada na rakhte the tum se ye chashm-daasht
karte ho qahar lutf ki jaaga gazab hai kya
izzat bhi ba'ad zillat bisaar chhed hai
majlis mein jab khafif kiya phir adab hai kya
aaye ham aap mein to na pahchaane phir gaye
us raah-e-saab ishq mein yaaro taab hai kya
hairaan hain us dehan ke azeezaan-e-khurda-been
ye bhi maqaam haaye taammul talab hai kya
aankhen jo hovein teri to tu ain kar rakhe
aalam tamaam gar vo nahin to ye sab hai kya
us aftaab bin nahin kuchh soojhtaa hamein
gar ye hi apne din hain to tareek shab hai kya
tum ne hamesha jaur-o-sitam be-sabab kiye
apna hi zarf tha jo na poocha sabab hai kya
kyunkar tumhaari baat kare koi e'tibaar
zaahir mein kya kaho ho sukhun zer-e-lab hai kya
us mah baghair meer ka marna ajab hua
har-chand marg-e-aashiq miskin ajab hai kya
रफ़्तार-ओ-तौर-ओ-तर्ज़-ओ-रविश का ये ढब है क्या
पहले सुलूक ऐसे ही तेरे थे अब है क्या
हम दिल-ज़दा न रखते थे तुम से ये चश्म-दाश्त
करते हो क़हर लुत्फ़ की जागा ग़ज़ब है क्या
इज़्ज़त भी बा'द ज़िल्लत बिसयार छेड़ है
मज्लिस में जब ख़फ़ीफ़ किया फिर अदब है क्या
आए हम आप में तो न पहचाने फिर गए
उस राह-ए-साब इश्क़ में यारो तअब है क्या
हैराँ हैं उस दहन के अज़ीज़ान-ए-ख़ुर्दा-बीं
ये भी मक़ाम हाए तअम्मुल तलब है क्या
आँखें जो होवें तेरी तो तू ऐन कर रखे
आलम तमाम गर वो नहीं तो ये सब है क्या
उस आफ़्ताब बिन नहीं कुछ सूझता हमें
गर ये ही अपने दिन हैं तो तारीक शब है क्या
तुम ने हमेशा जौर-ओ-सितम बे-सबब किए
अपना ही ज़र्फ़ था जो न पूछा सबब है क्या
क्यूँकर तुम्हारी बात करे कोई ए'तिबार
ज़ाहिर में क्या कहो हो सुख़न ज़ेर-ए-लब है क्या
उस मह बग़ैर 'मीर' का मरना अजब हुआ
हर-चंद मर्ग-ए-आशिक़ मिस्कीं अजब है क्या
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Relationship Shayari Shayari