ramq ek jaan-e-wabaal hai koi dam jo hai to azaab hai | रमक़ एक जान-ए-वबाल है कोई दम जो है तो अज़ाब है

  - Meer Taqi Meer

ramq ek jaan-e-wabaal hai koi dam jo hai to azaab hai
dil-e-daag gashta kebab hai jigar gudaakhta aab hai

meri khalk mahv-e-kalaam sab mujhe chhodate hain khamosh kab
mera harf rask-e-kitaab hai mari baat likhne ka baab hai

jo vo likhta kuchh bhi to nama-bar koi rahti munh mein tire nihaan
tiri khaamoshi se ye nikle hai ki jawaab khat ka jawaab hai

rahe haal dil ka jo ek sa to ruju' karte kahi bhala
so tu ye kabhu hama daagh hai kabhu neem-soz kebab hai

kaheinge kaho tumhein log kya yahi aarsi yahi tum sada
na kaso ki tum ko hai tak haya na hamaare munh se hijaab hai

chalo may-kade mein basar karein ki rahi hai kuchh barkat wahin
lab-e-naantovaan ka kebab hai dam-e-aabvaan ka sharaab hai

nahin khultin aankhen tumhaari tak ki maal par bhi nazar karo
ye jo vaham ki si numood hai use khoob dekho to khwaab hai

gaye waqt aate hain haath kab hue hain ganwa ke kharab sab
tujhe karna hove so kar tu ab ki ye umr barq-e-shittaab hai

kabhu lutf se na sukhun kya kabhu baat kah na laga liya
yahi lahza lahza khitaab hai wahin lamha lamha i'taab hai

tu jahaan ke bahar-e-ameeq mein sar par hua na buland kar
ki ye panj-roza jo bood hai kaso mauj-e-pur ka habaab hai

rakho aarzoo may-e-khaam ki karo guftugoo khat-e-jaam ki
ki siyaah kaaron se hashr mein na hisaab hai na kitaab hai

mera shor sun ke jo logon ne kiya poochna tu kahe hai kya
jise meer kahte hain saahibo ye wahin to khaana-kharaab hai

रमक़ एक जान-ए-वबाल है कोई दम जो है तो अज़ाब है
दिल-ए-दाग़ गश्ता कबाब है जिगर गुदाख़ता आब है

मिरी ख़ल्क़ महव-ए-कलाम सब मुझे छोड़ते हैं ख़मोश कब
मिरा हर्फ़ रश्क-ए-किताब है मरी बात लिखने का बाब है

जो वो लिखता कुछ भी तो नामा-बर कोई रहती मुँह में तिरे निहाँ
तिरी ख़ामुशी से ये निकले है कि जवाब ख़त का जवाब है

रहे हाल दिल का जो एक सा तो रुजूअ' करते कहीं भला
सो तू ये कभू हमा दाग़ है कभू नीम-सोज़ कबाब है

कहेंगे कहो तुम्हें लोग क्या यही आरसी यही तुम सदा
न कसो की तुम को है टक हया न हमारे मुँह से हिजाब है

चलो मय-कदे में बसर करें कि रही है कुछ बरकत वहीं
लब‌‌‌‌-ए-नाँतोवाँ का कबाब है दम-ए-आबवाँ का शराब है

नहीं खुलतीं आँखें तुम्हारी टक कि मआल पर भी नज़र करो
ये जो वहम की सी नुमूद है उसे ख़ूब देखो तो ख़्वाब है

गए वक़्त आते हैं हाथ कब हुए हैं गँवा के ख़राब सब
तुझे करना होवे सो कर तू अब कि ये उम्र बरक़-ए-शित्ताब है

कभू लुत्फ़ से न सुख़न क्या कभू बात कह न लगा लिया
यही लहज़ा लहज़ा ख़िताब है वही लम्हा लम्हा इ'ताब है

तू जहाँ के बहर-ए-अमीक़ में सर पर हुआ न बुलंद कर
कि ये पंज-रोज़ा जो बूद है कसो मौज-ए-पुर का हबाब है

रखो आरज़ू मय-ए-ख़ाम की करो गुफ़्तुगू ख़त-ए-जाम की
कि सियाह कारों से हश्र में न हिसाब है न किताब है

मिरा शोर सुन के जो लोगों ने किया पूछना तू कहे है क्या
जिसे 'मीर' कहते हैं साहिबो ये वही तो ख़ाना-ख़राब है

  - Meer Taqi Meer

Khat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Khat Shayari Shayari