yaaro mujhe muaaf rakho main nashe mein hoon | यारो मुझे मुआफ़ रखो मैं नशे में हूँ - Meer Taqi Meer

yaaro mujhe muaaf rakho main nashe mein hoon
ab do to jaam khaali hi do main nashe mein hoon

ek ek qurt daur mein yun hi mujhe bhi do
jaam-e-sharaab pur na karo main nashe mein hoon

masti se darhami hai meri guftugoo ke beech
jo chaaho tum bhi mujh ko kaho main nashe mein hoon

ya haathon haath lo mujhe maanind-e-jaam-e-may
ya thodi door saath chalo main nashe mein hoon

maazoor hoon jo paanv mera be-tarah pade
tum sargiraan to mujh se na ho main nashe mein hoon

bhaagi namaaz-e-jumaa to jaati nahin hai kuch
chalta hoon main bhi tuk to raho main nashe mein hoon

nazuk-mizaj aap qayamat hain meer jee
jun sheesha mere munh na lago main nashe mein hoon

यारो मुझे मुआफ़ रखो मैं नशे में हूँ
अब दो तो जाम ख़ाली ही दो मैं नशे में हूँ

एक एक क़ुर्त दौर में यूँ ही मुझे भी दो
जाम-ए-शराब पुर न करो मैं नशे में हूँ

मस्ती से दरहमी है मिरी गुफ़्तुगू के बीच
जो चाहो तुम भी मुझ को कहो मैं नशे में हूँ

या हाथों हाथ लो मुझे मानिंद-ए-जाम-ए-मय
या थोड़ी दूर साथ चलो मैं नशे में हूँ

माज़ूर हूँ जो पाँव मिरा बे-तरह पड़े
तुम सरगिराँ तो मुझ से न हो मैं नशे में हूँ

भागी नमाज़-ए-जुमा तो जाती नहीं है कुछ
चलता हूँ मैं भी टुक तो रहो मैं नशे में हूँ

नाज़ुक-मिज़ाज आप क़यामत हैं 'मीर' जी
जूँ शीशा मेरे मुँह न लगो मैं नशे में हूँ

- Meer Taqi Meer
1 Like

Aaina Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Aaina Shayari Shayari