bazm-e-shahanshaah mein ashaar ka daftar khula | बज़्म-ए-शाहंशाह में अशआ'र का दफ़्तर खुला

  - Mirza Ghalib

bazm-e-shahanshaah mein ashaar ka daftar khula
rakhiyo ya rab ye dar-e-ganjeena-e-gauhar khula

shab hui phir anjum-e-rakhshanda ka manzar khula
is takalluf se ki goya but-kade ka dar khula

garche hoon deewaana par kyun dost ka khaaoon fareb
aasteen mein dashna pinhaan haath mein nashtar khula

go na samjhoon us ki baatein go na paau us ka bhed
par ye kya kam hai ki mujh se vo pari-paikar khula

hai khayal-e-husn mein husn-e-amal ka sa khayal
khuld ka ik dar hai meri gor ke andar khula

munh na khulne par hai vo aalam ki dekha hi nahin
zulf se badh kar naqaab us shokh ke munh par khula

dar pe rahne ko kaha aur kah ke kaisa phir gaya
jitne arse mein mera lipta hua bistar khula

kyun andheri hai shab-e-gham hai balaaon ka nuzool
aaj udhar hi ko rahega deeda-e-akhtar khula

kya rahoon gurbat mein khush jab ho hawadis ka ye haal
naama laata hai watan se nama-bar akshar khula

us ki ummat mein hoon main mere rahein kyun kaam band
vaaste jis shah ke ghalib gumbad-e-be-dar khula

बज़्म-ए-शाहंशाह में अशआ'र का दफ़्तर खुला
रखियो या रब ये दर-ए-गंजीना-ए-गौहर खुला

शब हुई फिर अंजुम-ए-रख़्शन्दा का मंज़र खुला
इस तकल्लुफ़ से कि गोया बुत-कदे का दर खुला

गरचे हूँ दीवाना पर क्यूँ दोस्त का खाऊँ फ़रेब
आस्तीं में दशना पिन्हाँ हाथ में नश्तर खुला

गो न समझूँ उस की बातें गो न पाऊँ उस का भेद
पर ये क्या कम है कि मुझ से वो परी-पैकर खुला

है ख़याल-ए-हुस्न में हुस्न-ए-अमल का सा ख़याल
ख़ुल्द का इक दर है मेरी गोर के अंदर खुला

मुँह न खुलने पर है वो आलम कि देखा ही नहीं
ज़ुल्फ़ से बढ़ कर नक़ाब उस शोख़ के मुँह पर खुला

दर पे रहने को कहा और कह के कैसा फिर गया
जितने अर्से में मिरा लिपटा हुआ बिस्तर खुला

क्यूँ अँधेरी है शब-ए-ग़म है बलाओं का नुज़ूल
आज उधर ही को रहेगा दीदा-ए-अख़्तर खुला

क्या रहूँ ग़ुर्बत में ख़ुश जब हो हवादिस का ये हाल
नामा लाता है वतन से नामा-बर अक्सर खुला

उस की उम्मत में हूँ मैं मेरे रहें क्यूँ काम बंद
वास्ते जिस शह के 'ग़ालिब' गुम्बद-ए-बे-दर खुला

  - Mirza Ghalib

Khyaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Khyaal Shayari Shayari