manzoor thi ye shakl tajalli ko noor ki
qismat khuli tire qad-o-rukh se zuhoor ki
ik khoon-chakaan kafan mein karodon banaao hain
padti hai aankh tere shaheedon pe hoor ki
wa'iz na tum piyo na kisi ko pila sako
kya baat hai tumhaari sharaab-e-tahoor ki
ladta hai mujh se hashr mein qaateel ki kyun utha
goya abhi sooni nahin awaaz soor ki
aamad bahaar ki hai jo bulbul hai naghma-sanj
udti si ik khabar hai zabaani tuyoor ki
go waan nahin p waan ke nikale hue to hain
ka'be se in buton ko bhi nisbat hai door ki
kya farz hai ki sab ko mile ek sa jawaab
aao na ham bhi sair karein koh-e-toor ki
garmi sahi kalaam mein lekin na is qadar
ki jis se baat us ne shikaayat zaroor ki
ghalib gar is safar mein mujhe saath le chalen
haj ka savaab nazr karunga huzoor ki
मंज़ूर थी ये शक्ल तजल्ली को नूर की
क़िस्मत खुली तिरे क़द-ओ-रुख़ से ज़ुहूर की
इक ख़ूँ-चकाँ कफ़न में करोड़ों बनाओ हैं
पड़ती है आँख तेरे शहीदों पे हूर की
वाइ'ज़ न तुम पियो न किसी को पिला सको
क्या बात है तुम्हारी शराब-ए-तहूर की
लड़ता है मुझ से हश्र में क़ातिल कि क्यूँ उठा
गोया अभी सुनी नहीं आवाज़ सूर की
आमद बहार की है जो बुलबुल है नग़्मा-संज
उड़ती सी इक ख़बर है ज़बानी तुयूर की
गो वाँ नहीं प वाँ के निकाले हुए तो हैं
का'बे से इन बुतों को भी निस्बत है दूर की
क्या फ़र्ज़ है कि सब को मिले एक सा जवाब
आओ न हम भी सैर करें कोह-ए-तूर की
गर्मी सही कलाम में लेकिन न इस क़दर
की जिस से बात उस ने शिकायत ज़रूर की
'ग़ालिब' गर इस सफ़र में मुझे साथ ले चलें
हज का सवाब नज़्र करूँगा हुज़ूर की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Aankhein Shayari Shayari