hairaan hoon dil ko rooun ki peetoon jigar ko main
maqdoor ho to saath rakhoon nauhagar ko main
chhodaa na rashk ne ki tire ghar ka naam luun
har ik se poochta hoon ki jaaun kidhar ko main
jaana pada raqeeb ke dar par hazaar baar
ai kaash jaanta na tire rah-guzar ko main
hai kya jo kas ke baandhie meri bala dare
kya jaanta nahin hoon tumhaari kamar ko main
lo vo bhi kahte hain ki ye be-nang-o-naam hai
ye jaanta agar to lutaata na ghar ko main
chalta hoon thodi door har ik tez-rau ke saath
pahchaanta nahin hoon abhi raahbar ko main
khwaahish ko ahmaqon ne parastish diya qaraar
kya poojta hoon us but-e-bedad-gar ko main
phir be-khudi mein bhool gaya raah-e-koo-e-yaar
jaata vagarna ek din apni khabar ko main
apne pe kar raha hoon qayaas ahl-e-dehr ka
samjha hoon dil-pazeer mata-e-hunar ko main
ghalib khuda kare ki sawaar-e-samand-naaz
dekhoon ali bahaadur-e-aali-guhar ko main
हैराँ हूँ दिल को रोऊँ कि पीटूँ जिगर को मैं
मक़्दूर हो तो साथ रखूँ नौहागर को मैं
छोड़ा न रश्क ने कि तिरे घर का नाम लूँ
हर इक से पूछता हूँ कि जाऊँ किधर को मैं
जाना पड़ा रक़ीब के दर पर हज़ार बार
ऐ काश जानता न तिरे रह-गुज़र को मैं
है क्या जो कस के बाँधिए मेरी बला डरे
क्या जानता नहीं हूँ तुम्हारी कमर को मैं
लो वो भी कहते हैं कि ये बे-नंग-ओ-नाम है
ये जानता अगर तो लुटाता न घर को मैं
चलता हूँ थोड़ी दूर हर इक तेज़-रौ के साथ
पहचानता नहीं हूँ अभी राहबर को मैं
ख़्वाहिश को अहमक़ों ने परस्तिश दिया क़रार
क्या पूजता हूँ उस बुत-ए-बेदाद-गर को मैं
फिर बे-ख़ुदी में भूल गया राह-ए-कू-ए-यार
जाता वगर्ना एक दिन अपनी ख़बर को मैं
अपने पे कर रहा हूँ क़यास अहल-ए-दहर का
समझा हूँ दिल-पज़ीर मता-ए-हुनर को मैं
'ग़ालिब' ख़ुदा करे कि सवार-ए-समंद-नाज़
देखूँ अली बहादुर-ए-आली-गुहर को मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Ghar Shayari Shayari