sargoshtagi mein aalam-e-hasti se yaas hai | सर-गश्तगी में आलम-ए-हस्ती से यास है

  - Mirza Ghalib

sargoshtagi mein aalam-e-hasti se yaas hai
taskin ko de naved ki marne ki aas hai

leta nahin mere dil-e-aawaara ki khabar
ab tak vo jaanta hai ki mere hi paas hai

kijie bayaan surur-e-tap-e-gham kahaan talak
har moo mere badan pe zabaan-e-sipaas hai

hai vo ghuroor-e-husn se begaana-e-wafa
har-chand us ke paas dil-e-haq-shanaas hai

pee jis qadar mile shab-e-mehtaab mein sharaab
is balghami-mizaaj ko garmi hi raas hai

har ik makaan ko hai makeen se sharf asad
majnoon jo mar gaya hai to jungle udaas hai

kya gham hai us ko jis ka ali sa imaam ho
itna bhi ai falak-zada kyun bad-havaas hai

सर-गश्तगी में आलम-ए-हस्ती से यास है
तस्कीं को दे नवेद कि मरने की आस है

लेता नहीं मिरे दिल-ए-आवारा की ख़बर
अब तक वो जानता है कि मेरे ही पास है

कीजिए बयाँ सुरूर-ए-तप-ए-ग़म कहाँ तलक
हर मू मिरे बदन पे ज़बान-ए-सिपास है

है वो ग़ुरूर-ए-हुस्न से बेगाना-ए-वफ़ा
हर-चंद उस के पास दिल-ए-हक़-शनास है

पी जिस क़दर मिले शब-ए-महताब में शराब
इस बलग़मी-मिज़ाज को गर्मी ही रास है

हर इक मकान को है मकीं से शरफ़ 'असद'
मजनूँ जो मर गया है तो जंगल उदास है

क्या ग़म है उस को जिस का 'अली' सा इमाम हो
इतना भी ऐ फ़लक-ज़दा क्यूँ बद-हवास है

  - Mirza Ghalib

Maikashi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Maikashi Shayari Shayari