na tha kuchh to khuda tha kuchh na hota to khuda hota
duboya mujh ko hone ne na hota main to kya hota
hua jab gham se yun be-his to gham kya sar ke katne ka
na hota gar juda tan se to zaanoo par dhara hota
hui muddat ki ghalib mar gaya par yaad aata hai
vo har ik baat par kehna ki yun hota to kya hota
न था कुछ तो ख़ुदा था कुछ न होता तो ख़ुदा होता
डुबोया मुझ को होने ने न होता मैं तो क्या होता
हुआ जब ग़म से यूँ बे-हिस तो ग़म क्या सर के कटने का
न होता गर जुदा तन से तो ज़ानू पर धरा होता
हुई मुद्दत कि 'ग़ालिब' मर गया पर याद आता है
वो हर इक बात पर कहना कि यूँ होता तो क्या होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Gham Shayari Shayari