husn-e-mah garche b-hangaam-e-kamaal achha hai | हुस्न-ए-मह गरचे ब-हंगाम-ए-कमाल अच्छा है

  - Mirza Ghalib

husn-e-mah garche b-hangaam-e-kamaal achha hai
us se mera mah-e-khursheed-jamaal achha hai

bosa dete nahin aur dil pe hai har lahza nigaah
jee mein kahte hain ki muft aaye to maal achha hai

aur bazaar se le aaye agar toot gaya
saagar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achha hai

be-talab den to maza us mein siva milta hai
vo gada jis ko na ho khoo-e-sawaal achha hai

un ke dekhe se jo aa jaati hai munh par raunaq
vo samjhte hain ki beemaar ka haal achha hai

dekhiye paate hain ushshaq buton se kya faiz
ik brahman ne kaha hai ki ye saal achha hai

hum-sukhan tesha ne farhaad ko sheerin se kiya
jis tarah ka ki kisi mein ho kamaal achha hai

qatra dariya mein jo mil jaaye to dariya ho jaaye
kaam achha hai vo jis ka ki maal achha hai

khizr-sultaan ko rakhe khaaliq-e-akbar sarsabz
shah ke baagh mein ye taaza nihaal achha hai

ham ko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin
dil ke khush rakhne ko ghalib ye khayal achha hai

हुस्न-ए-मह गरचे ब-हंगाम-ए-कमाल अच्छा है
उस से मेरा मह-ए-ख़ुर्शीद-जमाल अच्छा है

बोसा देते नहीं और दिल पे है हर लहज़ा निगाह
जी में कहते हैं कि मुफ़्त आए तो माल अच्छा है

और बाज़ार से ले आए अगर टूट गया
साग़र-ए-जम से मिरा जाम-ए-सिफ़ाल अच्छा है

बे-तलब दें तो मज़ा उस में सिवा मिलता है
वो गदा जिस को न हो ख़ू-ए-सवाल अच्छा है

उन के देखे से जो आ जाती है मुँह पर रौनक़
वो समझते हैं कि बीमार का हाल अच्छा है

देखिए पाते हैं उश्शाक़ बुतों से क्या फ़ैज़
इक बरहमन ने कहा है कि ये साल अच्छा है

हम-सुख़न तेशा ने फ़रहाद को शीरीं से किया
जिस तरह का कि किसी में हो कमाल अच्छा है

क़तरा दरिया में जो मिल जाए तो दरिया हो जाए
काम अच्छा है वो जिस का कि मआल अच्छा है

ख़िज़्र-सुल्ताँ को रखे ख़ालिक़-ए-अकबर सरसब्ज़
शाह के बाग़ में ये ताज़ा निहाल अच्छा है

हम को मालूम है जन्नत की हक़ीक़त लेकिन
दिल के ख़ुश रखने को 'ग़ालिब' ये ख़याल अच्छा है

  - Mirza Ghalib

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari