mehram nahin hai tu hi navaa-ha-e-raaz ka
yaa warna jo hijaab hai parda hai saaz ka
rang-e-shikasta subh-e-bahaar-e-nazaara hai
ye waqt hai shaguftan-e-gul-ha-e-naaz ka
tu aur soo-e-ghair nazar-ha-e-tez tez
main aur dukh tiri miza-ha-e-daraaz ka
sarfa hai zabt-e-aah mein mera vagarna mein
tooma hoon ek hi nafs-e-jaan-gudaaz ka
hain bas-ki josh-e-baada se sheeshe uchhal rahe
har gosha-e-bisaat hai sar sheesha-baaz ka
kaavish ka dil kare hai taqaza ki hai hunooz
nakhun pe qarz is girh-e-neem-baaz ka
taaraaj-e-kaavish-e-gham-e-hijraan hua asad
seena ki tha dafeena guhar-ha-e-raaz ka
महरम नहीं है तू ही नवा-हा-ए-राज़ का
याँ वर्ना जो हिजाब है पर्दा है साज़ का
रंग-ए-शिकस्ता सुब्ह-ए-बहार-ए-नज़ारा है
ये वक़्त है शगुफ़्तन-ए-गुल-हा-ए-नाज़ का
तू और सू-ए-ग़ैर नज़र-हा-ए-तेज़ तेज़
मैं और दुख तिरी मिज़ा-हा-ए-दराज़ का
सर्फ़ा है ज़ब्त-ए-आह में मेरा वगर्ना में
तोमा हूँ एक ही नफ़स-ए-जाँ-गुदाज़ का
हैं बस-कि जोश-ए-बादा से शीशे उछल रहे
हर गोशा-ए-बिसात है सर शीशा-बाज़ का
काविश का दिल करे है तक़ाज़ा कि है हुनूज़
नाख़ुन पे क़र्ज़ इस गिरह-ए-नीम-बाज़ का
ताराज-ए-काविश-ए-ग़म-ए-हिज्राँ हुआ 'असद'
सीना कि था दफ़ीना गुहर-हा-ए-राज़ का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Waqt Shayari Shayari