hui taakheer to kuchh bais-e-taakheer bhi tha | हुई ताख़ीर तो कुछ बाइस-ए-ताख़ीर भी था

  - Mirza Ghalib

hui taakheer to kuchh bais-e-taakheer bhi tha
aap aate the magar koi inaan-geer bhi tha

tum se beja hai mujhe apni tabaahi ka gila
us mein kuchh shaib-e-khoobi-e-taqdeer bhi tha

tu mujhe bhool gaya ho to pata batla doon
kabhi fitraak mein tere koi nakhchir bhi tha

qaid mein hai tire wahshi ko wahi zulf ki yaad
haan kuchh ik ranj-e-giraan-baari-e-zanjeer bhi tha

bijli ik kaund gai aankhon ke aage to kya
baat karte ki main lab-tishna-e-taqreer bhi tha

yusuf us ko kahoon aur kuchh na kahe khair hui
gar bigad baithe to main laik-e-taazeer bhi tha

dekh kar gair ko ho kyun na kaleja thanda
naala karta tha wale talib-e-taaseer bhi tha

peshe mein aib nahin rakhiye na farhaad ko naam
ham hi aashufta-saron mein vo jawaan-meer bhi tha

ham the marne ko khade paas na aaya na sahi
aakhir us shokh ke tarkash mein koi teer bhi tha

pakde jaate hain farishton ke likhe par na-haq
aadmi koi hamaara dam-e-tahreer bhi tha

rekhte ke tumheen ustaad nahin ho ghalib
kahte hain agle zamaane mein koi meer bhi tha

हुई ताख़ीर तो कुछ बाइस-ए-ताख़ीर भी था
आप आते थे मगर कोई इनाँ-गीर भी था

तुम से बेजा है मुझे अपनी तबाही का गिला
उस में कुछ शाइब-ए-ख़ूबी-ए-तक़दीर भी था

तू मुझे भूल गया हो तो पता बतला दूँ
कभी फ़ितराक में तेरे कोई नख़चीर भी था

क़ैद में है तिरे वहशी को वही ज़ुल्फ़ की याद
हाँ कुछ इक रंज-ए-गिराँ-बारी-ए-ज़ंजीर भी था

बिजली इक कौंद गई आँखों के आगे तो क्या
बात करते कि मैं लब-तिश्ना-ए-तक़रीर भी था

यूसुफ़ उस को कहूँ और कुछ न कहे ख़ैर हुई
गर बिगड़ बैठे तो मैं लाइक़-ए-ताज़ीर भी था

देख कर ग़ैर को हो क्यूँ न कलेजा ठंडा
नाला करता था वले तालिब-ए-तासीर भी था

पेशे में ऐब नहीं रखिए न फ़रहाद को नाम
हम ही आशुफ़्ता-सरों में वो जवाँ-मीर भी था

हम थे मरने को खड़े पास न आया न सही
आख़िर उस शोख़ के तरकश में कोई तीर भी था

पकड़े जाते हैं फ़रिश्तों के लिखे पर ना-हक़
आदमी कोई हमारा दम-ए-तहरीर भी था

रेख़्ते के तुम्हीं उस्ताद नहीं हो 'ग़ालिब'
कहते हैं अगले ज़माने में कोई 'मीर' भी था

  - Mirza Ghalib

Shikwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Shikwa Shayari Shayari