kya tang ham sitam-zadagaan ka jahaan hai
jis mein ki ek beza-e-mor aasmaan hai
hai kaayenaat ko harkat tere zauq se
partav se aftaab ke zarre mein jaan hai
haalaanki hai ye seeli-e-khaaraa se lala rang
ghaafil ko mere sheeshe pe may ka gumaan hai
ki us ne garm seena-e-ahl-e-hawas mein ja
aave na kyun pasand ki thanda makaan hai
kya khoob tum ne gair ko bosa nahin diya
bas chup raho hamaare bhi munh mein zabaan hai
baitha hai jo ki saaya-e-deewaar-e-yaar mein
farmaan-ravaa-e-kishwar-e-hindustaan hai
hasti ka e'tibaar bhi gham ne mita diya
kis se kahoon ki daagh jigar ka nishaan hai
hai baare etimaad-e-wafaadaari is qadar
ghalib ham is mein khush hain ki naa-mehraban hai
dehli ke rahne waalo asad ko satao mat
be-chaara chand roz ka yaa mehmaan hai
क्या तंग हम सितम-ज़दगाँ का जहान है
जिस में कि एक बैज़ा-ए-मोर आसमान है
है काएनात को हरकत तेरे ज़ौक़ से
परतव से आफ़्ताब के ज़र्रे में जान है
हालाँकि है ये सीली-ए-ख़ारा से लाला रंग
ग़ाफ़िल को मेरे शीशे पे मय का गुमान है
की उस ने गर्म सीना-ए-अहल-ए-हवस में जा
आवे न क्यूँ पसंद कि ठंडा मकान है
क्या ख़ूब तुम ने ग़ैर को बोसा नहीं दिया
बस चुप रहो हमारे भी मुँह में ज़बान है
बैठा है जो कि साया-ए-दीवार-ए-यार में
फ़रमाँ-रवा-ए-किश्वर-ए-हिन्दुस्तान है
हस्ती का ए'तिबार भी ग़म ने मिटा दिया
किस से कहूँ कि दाग़ जिगर का निशान है
है बारे ए'तिमाद-ए-वफ़ा-दारी इस क़दर
'ग़ालिब' हम इस में ख़ुश हैं कि ना-मेहरबान है
देहली के रहने वालो 'असद' को सताओ मत
बे-चारा चंद रोज़ का याँ मेहमान है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Gham Shayari Shayari