kyun jal gaya na taab-e-rukh-e-yaar dekh kar
jalta hoon apni taqat-e-deedaar dekh kar
aatish-parast kahte hain ahl-e-jahaan mujhe
sargarm-e-naala-ha-e-sharar-baar dekh kar
kya aabroo-e-ishq jahaan aam ho jafaa
rukta hoon tum ko be-sabab aazaar dekh kar
aata hai mere qatl ko par josh-e-rashk se
marta hoon us ke haath mein talwaar dekh kar
saabit hua hai gardan-e-meena pe khoon-e-khalk
larze hai mauj-e-may tiri raftaar dekh kar
vaa-hasrata ki yaar ne kheecha sitam se haath
ham ko harees-e-lazzat-e-aazaar dekh kar
bik jaate hain ham aap mataa-e-sukhan ke saath
lekin ayaar-e-tab'e-kharedaar. dekh kar
zunnar baandh subha-e-sad-daana tod daal
rah-rau chale hai raah ko hamvaar dekh kar
in aabloon se paanv ke ghabra gaya tha main
jee khush hua hai raah ko pur-khaar dekh kar
kya bad-gumaan hai mujh se ki aaine mein mere
tooti ka aks samjhe hai zangaar dekh kar
girni thi ham pe barq-e-tajalli na toor par
dete hain baada zarf-e-qadh-khwaar dekh kar
sar phodna vo ghalib-e-shorida haal ka
yaad aa gaya mujhe tiri deewaar dekh kar
क्यूँ जल गया न ताब-ए-रुख़-ए-यार देख कर
जलता हूँ अपनी ताक़त-ए-दीदार देख कर
आतिश-परस्त कहते हैं अहल-ए-जहाँ मुझे
सरगर्म-ए-नाला-हा-ए-शरर-बार देख कर
क्या आबरू-ए-इश्क़ जहाँ आम हो जफ़ा
रुकता हूँ तुम को बे-सबब आज़ार देख कर
आता है मेरे क़त्ल को पर जोश-ए-रश्क से
मरता हूँ उस के हाथ में तलवार देख कर
साबित हुआ है गर्दन-ए-मीना पे ख़ून-ए-ख़ल्क़
लरज़े है मौज-ए-मय तिरी रफ़्तार देख कर
वा-हसरता कि यार ने खींचा सितम से हाथ
हम को हरीस-ए-लज़्ज़त-ए-आज़ार देख कर
बिक जाते हैं हम आप मता-ए-सुख़न के साथ
लेकिन अयार-ए-तबअ-ए-ख़रीदार देख कर
ज़ुन्नार बाँध सुब्हा-ए-सद-दाना तोड़ डाल
रह-रौ चले है राह को हमवार देख कर
इन आबलों से पाँव के घबरा गया था मैं
जी ख़ुश हुआ है राह को पुर-ख़ार देख कर
क्या बद-गुमाँ है मुझ से कि आईने में मिरे
तूती का अक्स समझे है ज़ंगार देख कर
गिरनी थी हम पे बर्क़-ए-तजल्ली न तूर पर
देते हैं बादा ज़र्फ़-ए-क़दह-ख़्वार देख कर
सर फोड़ना वो 'ग़ालिब'-ए-शोरीदा हाल का
याद आ गया मुझे तिरी दीवार देख कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Khushi Shayari Shayari