saadgi par us ki mar jaane ki hasrat dil mein hai
bas nahin chalta ki phir khanjar kaf-e-qaatil mein hai
dekhna taqreer ki lazzat ki jo us ne kaha
main ne ye jaana ki goya ye bhi mere dil mein hai
garche hai kis kis buraai se wale baa'een-hama
zikr mera mujh se behtar hai ki us mehfil mein hai
bas hujoom-e-na-umeedi khaak mein mil jaayegi
ye jo ik lazzat hamaari sa'i-e-be-haasil mein hai
ranj-e-rah kyun kheenchiye waamaandagi ko ishq hai
uth nahin saka hamaara jo qadam manzil mein hai
jalwa zaar-e-aatish-e-dozakh hamaara dil sahi
fitna-e-shor-e-qayaamat kis ke aab-o-gil mein hai
hai dil-e-shoreeda-e-'ghalib tilism-e-pech-o-taab
rehm kar apni tamannaa par ki kis mushkil mein hai
सादगी पर उस की मर जाने की हसरत दिल में है
बस नहीं चलता कि फिर ख़ंजर कफ़-ए-क़ातिल में है
देखना तक़रीर की लज़्ज़त कि जो उस ने कहा
मैं ने ये जाना कि गोया ये भी मेरे दिल में है
गरचे है किस किस बुराई से वले बाईं-हमा
ज़िक्र मेरा मुझ से बेहतर है कि उस महफ़िल में है
बस हुजूम-ए-ना-उमीदी ख़ाक में मिल जाएगी
ये जो इक लज़्ज़त हमारी सई-ए-बे-हासिल में है
रंज-ए-रह क्यूँ खींचिए वामांदगी को इश्क़ है
उठ नहीं सकता हमारा जो क़दम मंज़िल में है
जल्वा ज़ार-ए-आतिश-ए-दोज़ख़ हमारा दिल सही
फ़ित्ना-ए-शोर-ए-क़यामत किस के आब-ओ-गिल में है
है दिल-ए-शोरीदा-ए-'ग़ालिब' तिलिस्म-ए-पेच-ओ-ताब
रहम कर अपनी तमन्ना पर कि किस मुश्किल में है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Love Shayari Shayari