zikr us paree-vash ka aur phir bayaan apna | ज़िक्र उस परी-वश का और फिर बयाँ अपना

  - Mirza Ghalib

zikr us paree-vash ka aur phir bayaan apna
ban gaya raqeeb aakhir tha jo raaz-daan apna

may vo kyun bahut peete bazm-e-ghair mein ya rab
aaj hi hua manzoor un ko imtihaan apna

manzar ik bulandi par aur ham bana sakte
arsh se udhar hota kaash ke makaan apna

de vo jis qadar zillat ham hasi mein taalenge
baare aashna nikla un ka paasbaan apna

dard-e-dil likhoon kab tak jaaun un ko dikhla doon
ungaliyaan figaar apni khaama khoon-chakaan apna

ghisate ghisate mit jaata aap ne abas badla
nang-e-sajda se mere sang-e-aastaan apna

ta kare na gammaazi kar liya hai dushman ko
dost ki shikaayat mein ham ne ham-zabaan apna

ham kahaan ke daana the kis hunar mein yaktaa the
be-sabab hua ghalib dushman aasmaan apna

ज़िक्र उस परी-वश का और फिर बयाँ अपना
बन गया रक़ीब आख़िर था जो राज़-दाँ अपना

मय वो क्यूँ बहुत पीते बज़्म-ए-ग़ैर में या रब
आज ही हुआ मंज़ूर उन को इम्तिहाँ अपना

मंज़र इक बुलंदी पर और हम बना सकते
अर्श से उधर होता काश के मकाँ अपना

दे वो जिस क़दर ज़िल्लत हम हँसी में टालेंगे
बारे आश्ना निकला उन का पासबाँ अपना

दर्द-ए-दिल लिखूँ कब तक जाऊँ उन को दिखला दूँ
उँगलियाँ फ़िगार अपनी ख़ामा ख़ूँ-चकाँ अपना

घिसते घिसते मिट जाता आप ने अबस बदला
नंग-ए-सज्दा से मेरे संग-ए-आस्ताँ अपना

ता करे न ग़म्माज़ी कर लिया है दुश्मन को
दोस्त की शिकायत में हम ने हम-ज़बाँ अपना

हम कहाँ के दाना थे किस हुनर में यकता थे
बे-सबब हुआ 'ग़ालिब' दुश्मन आसमाँ अपना

  - Mirza Ghalib

Sharaab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Sharaab Shayari Shayari