waan pahunch kar jo ghash aata pai-hum hai ham ko | वाँ पहुँच कर जो ग़श आता पए-हम है हम को

  - Mirza Ghalib

waan pahunch kar jo ghash aata pai-hum hai ham ko
sad-rah aahang-e-zameen bos-e-qadam hai ham ko

dil ko main aur mujhe dil mahw-e-wafa rakhta hai
kis qadar zauq-e-giraftaari-e-hum hai ham ko

zof se naqsh-e-p-e-mor hai tauq-e-gardan
tire kooche se kahaan taqat-e-ram. hai ham ko

jaan kar kijeye taghaaful ki kuchh ummeed bhi ho
ye nigaah-e-ghalat-andaaz to sam hai ham ko

rashk-e-ham-tarhi o dard-e-asr-e-baang-e-hazeen
naala-e-murgh-e-sehar tegh-e-do-dam hai ham ko

sar udaane ke jo vaade ko mukarrar chaaha
hans ke bole ki tire sar ki qasam hai ham ko

dil ke khun karne ki kya wajah v-lekin naachaar
paas-e-be-ronaqi-e-deeda ahem hai ham ko

tum vo naazuk ki khamoshi ko fugaan kahte ho
ham woh aajiz ki taghaaful bhi sitam hai ham ko

lucknow aane ka baa'is nahin khulta yaani
havas-e-sair-o-tamasha so woh kam hai ham ko

maqta-e-silsila-e-shauq nahin hai ye shehar
azm-e-sair-e-najaf-o-tauf-e-haram hai ham ko

liye jaati hai kahi ek tavakko ghalib
jaada-e-rah kashish-e-kaaf-e-karam hai ham ko

abr rota hai ki bazm-e-tarab aamada karo
barq hansati hai ki furqat koi dam hai ham ko

वाँ पहुँच कर जो ग़श आता पए-हम है हम को
सद-रह आहंग-ए-ज़मीं बोस-ए-क़दम है हम को

दिल को मैं और मुझे दिल महव-ए-वफ़ा रखता है
किस क़दर ज़ौक़-ए-गिरफ़्तारी-ए-हम है हम को

ज़ोफ़ से नक़्श-ए-प-ए-मोर है तौक़-ए-गर्दन
तिरे कूचे से कहाँ ताक़त-ए-रम है हम को

जान कर कीजे तग़ाफ़ुल कि कुछ उम्मीद भी हो
ये निगाह-ए-ग़लत-अंदाज़ तो सम है हम को

रश्क-ए-हम-तरही ओ दर्द-ए-असर-ए-बांग-ए-हज़ीं
नाला-ए-मुर्ग़-ए-सहर तेग़-ए-दो-दम है हम को

सर उड़ाने के जो वादे को मुकर्रर चाहा
हँस के बोले कि तिरे सर की क़सम है हम को

दिल के ख़ूँ करने की क्या वजह व-लेकिन नाचार
पास-ए-बे-रौनक़ी-ए-दीदा अहम है हम को

तुम वो नाज़ुक कि ख़मोशी को फ़ुग़ाँ कहते हो
हम वह आजिज़ कि तग़ाफ़ुल भी सितम है हम को

लखनऊ आने का बाइस नहीं खुलता यानी
हवस-ए-सैर-ओ-तमाशा सो वह कम है हम को

मक़्ता-ए-सिलसिला-ए-शौक़ नहीं है ये शहर
अज़्म-ए-सैर-ए-नजफ़-ओ-तौफ़-ए-हरम है हम को

लिए जाती है कहीं एक तवक़्क़ो 'ग़ालिब'
जादा-ए-रह कशिश-ए-काफ़-ए-करम है हम को

अब्र रोता है कि बज़्म-ए-तरब आमादा करो
बर्क़ हँसती है कि फ़ुर्सत कोई दम है हम को

  - Mirza Ghalib

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari