nahin hai zakham koi bakhiye ke dar-khur mere tan mein
hua hai taar-e-ashk-e-yaas rishta chashm-e-sozan mein
hui hai maane-e-zauq-e-tamaasha khaana-veeraani
kaf-e-sailaab baaki hai b-rang-e-pumba rozan mein
vadeeat-khaana-e-bedaad-e-kaawish-ha-e-mizgaan hoon
nageen-e-naam-e-shaahid hai mere har qatra-e-khoon tan mein
bayaan kis se ho zulmat-gustaree mere shabistaan ki
shab-e-mah ho jo rakh doon pumbaa deewaron ke rozan mein
nikoohish maana-e-be-rabti-e-shor-e-junoon aayi
hua hai khanda-e-ahbaab bakhiya jeb-o-daaman mein
hue us mehr-vash ke jalwa-e-timsaal ke aage
par-afshaan jauhar aaine mein misl-e-zarra rozan mein
na jaanoon nek hoon ya bad hoon par sohbat-mukhaalif hai
jo gul hoon to hoon gul-khan mein jo khas hoon to hoon gulshan mein
hazaaron dil diye josh-e-junoon-e-ishq ne mujh ko
siyah ho kar suwaida ho gaya har qatra-e-khoon tan mein
asad zindaani-e-taaseer-e-ulfat-ha-e-khooban hoon
kham-e-dast-e-nawaazish ho gaya hai tauq gardan mein
fuzoon ki doston ne hirs-e-qaatil zauq-e-kushtan mein
hoye hain bakhiya-ha-e-zakhm jauhar tegh-e-dushman mein
tamasha kardani hai lutf-e-zakhm-e-intizaar ai dil
suwaida daagh-e-marham mardumak hai chashm-e-sozan mein
dil-o-deen-o-khirad taaraaj-e-naaz-e-jalwa-pairaai
hua hai jauhar-e-aaina khel-e-mor khirman mein
nikoohish maane-e-deewangi-ha-e-junoon aayi
lagaaya khanda-e-naaseh ne bakhiya jeb-o-daaman mein
नहीं है ज़ख़्म कोई बख़िये के दर-ख़ुर मिरे तन में
हुआ है तार-ए-अश्क-ए-यास रिश्ता चश्म-ए-सोज़न में
हुई है माने-ए-ज़ौक़-ए-तमाशा ख़ाना-वीरानी
कफ़-ए-सैलाब बाक़ी है ब-रंग-ए-पुम्बा रौज़न में
वदीअत-ख़ाना-ए-बेदाद-ए-काविश-हा-ए-मिज़गाँ हूँ
नगीन-ए-नाम-ए-शाहिद है मिरे हर क़तरा-ए-ख़ूँ तन में
बयाँ किस से हो ज़ुल्मत-गुस्तरी मेरे शबिस्ताँ की
शब-ए-मह हो जो रख दूँ पुम्बा दीवारों के रौज़न में
निकोहिश माना-ए-बे-रब्ती-ए-शोर-ए-जुनूँ आई
हुआ है ख़ंदा-ए-अहबाब बख़िया जेब-ओ-दामन में
हुए उस मेहर-वश के जल्वा-ए-तिमसाल के आगे
पर-अफ़्शाँ जौहर आईने में मिस्ल-ए-ज़र्रा रौज़न में
न जानूँ नेक हूँ या बद हूँ पर सोहबत-मुख़ालिफ़ है
जो गुल हूँ तो हूँ गुलख़न में जो ख़स हूँ तो हूँ गुलशन में
हज़ारों दिल दिये जोश-ए-जुनून-ए-इश्क़ ने मुझ को
सियह हो कर सुवैदा हो गया हर क़तरा-ए-ख़ूँ तन में
'असद' ज़िंदानी-ए-तासीर-ए-उल्फ़त-हा-ए-ख़ूबाँ हूँ
ख़म-ए-दस्त-ए-नवाज़िश हो गया है तौक़ गर्दन में
फ़ुज़ूँ की दोस्तों ने हिर्स-ए-क़ातिल ज़ौक़-ए-कुश्तन में
होए हैं बख़िया-हा-ए-ज़ख़्म जौहर तेग़-ए-दुश्मन में
तमाशा करदनी है लुत्फ़-ए-ज़ख़्म-ए-इंतिज़ार ऐ दिल
सुवैदा दाग़-ए-मर्हम मर्दुमुक है चश्म-ए-सोज़न में
दिल-ओ-दीन-ओ-ख़िरद ताराज-ए-नाज़-ए-जल्वा-पैराई
हुआ है जौहर-ए-आईना ख़ेल-ए-मोर ख़िर्मन में
निकोहिश माने-ए-दीवानगी-हा-ए-जुनूँ आई
लगाया ख़ंदा-ए-नासेह ने बख़िया जेब-ओ-दामन में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Dil Shayari Shayari