sataish-gar hai zaahid is qadar jis baagh-e-rizwaan ka
vo ik guldasta hai ham be-khudoon ke taak-e-nisyan ka
bayaan kya kijie bedaad-e-kaavish-ha-e-mizgaan ka
ki har yak qatra-e-khoon daana hai tasbeeh-e-marjaan ka
na aayi satvat-e-qaatil bhi maane mere naalon ko
liya daanton mein jo tinka hua resha niyastaan ka
dikhaaunga tamasha di agar furqat zamaane ne
mera har daag-e-dil ik tukhm hai sarv-e-charaaghaan ka
kiya aaina-khaane ka vo naqsha tere jalwe ne
kare jo partav-e-khurshid aalam shabnamistaan ka
meri ta'aamir mein muzmar hai ik soorat kharaabi ki
hayoola barq-e-khirman ka hai khoon-e-garm dahkaan ka
ugaa hai ghar mein har soo sabza veeraani tamasha kar
madaar ab khodne par ghaas ke hai mere darbaan ka
khamoshi mein nihaan khoon-gashta laakhon aarzooen hain
charaagh-e-murda hoon main be-zabaan gor-e-ghareeban ka
hanooz ik partav-e-naqsh-e-khayaal-e-yaar baaki hai
dil-e-afsurda goya hujra hai yusuf ke zindaan ka
baghal mein gair ki aaj aap sote hain kahi warna
sabab kya khwaab mein aa kar tabassum-ha-e-pinhaan ka
nahin ma'aloom kis kis ka lahu paani hua hoga
qayamat hai sarishk-aalooda hona teri mizgaan ka
nazar mein hai hamaari jaada-e-raah-e-fana ghalib
ki ye sheeraza hai aalam ke ajzaa-e-pareshaan ka
सताइश-गर है ज़ाहिद इस क़दर जिस बाग़-ए-रिज़वाँ का
वो इक गुलदस्ता है हम बे-ख़ुदों के ताक़-ए-निस्याँ का
बयाँ क्या कीजिए बेदाद-ए-काविश-हा-ए-मिज़गाँ का
कि हर यक क़तरा-ए-ख़ूँ दाना है तस्बीह-ए-मरजाँ का
न आई सतवत-ए-क़ातिल भी माने मेरे नालों को
लिया दाँतों में जो तिनका हुआ रेशा नियस्ताँ का
दिखाऊँगा तमाशा दी अगर फ़ुर्सत ज़माने ने
मिरा हर दाग़-ए-दिल इक तुख़्म है सर्व-ए-चराग़ाँ का
किया आईना-ख़ाने का वो नक़्शा तेरे जल्वे ने
करे जो परतव-ए-ख़ुर्शीद आलम शबनमिस्ताँ का
मिरी ता'मीर में मुज़्मर है इक सूरत ख़राबी की
हयूला बर्क़-ए-ख़िर्मन का है ख़ून-ए-गर्म दहक़ाँ का
उगा है घर में हर सू सब्ज़ा वीरानी तमाशा कर
मदार अब खोदने पर घास के है मेरे दरबाँ का
ख़मोशी में निहाँ ख़ूँ-गश्ता लाखों आरज़ूएँ हैं
चराग़-ए-मुर्दा हूँ मैं बे-ज़बाँ गोर-ए-ग़रीबाँ का
हनूज़ इक परतव-ए-नक़्श-ए-ख़याल-ए-यार बाक़ी है
दिल-ए-अफ़सुर्दा गोया हुजरा है यूसुफ़ के ज़िंदाँ का
बग़ल में ग़ैर की आज आप सोते हैं कहीं वर्ना
सबब क्या ख़्वाब में आ कर तबस्सुम-हा-ए-पिन्हाँ का
नहीं मा'लूम किस किस का लहू पानी हुआ होगा
क़यामत है सरिश्क-आलूदा होना तेरी मिज़्गाँ का
नज़र में है हमारी जादा-ए-राह-ए-फ़ना 'ग़ालिब'
कि ये शीराज़ा है आलम के अज्ज़ा-ए-परेशाँ का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Chehra Shayari Shayari