shab ki barq-e-soz-e-dil se zahraa-e-abr aab tha | शब कि बर्क़-ए-सोज़-ए-दिल से ज़हरा-ए-अब्र आब था - Mirza Ghalib

shab ki barq-e-soz-e-dil se zahraa-e-abr aab tha
shola-e-jawwaala har yak halkaa-e-girdaab tha

waan karam ko uzr-e-baarish tha inaan-gir-e-khiraam
girye se yaa pumbaa-e-baalish kaf-e-sailaab tha

waan khud-aaraai ko tha moti pirone ka khayal
yaa hujoom-e-ashk mein taar-e-nigah naayaab tha

jalwa-e-gul ne kiya tha waan charaaghaan aabjoo
yaa ravaan mizgaan-e-chashm-e-tar se khoon-e-naab tha

yaa sar-e-pur-shor be-khwabi se tha deewaar-joo
waan vo farq-e-naaz mahv-e-baalish-e-kim-khwab tha

yaa nafs karta tha raushan sham-e-bazm-e-be-khudi
jalwa-e-gul waan bisaat-e-sohbat-e-ahbaab tha

farsh se ta arsh waan toofaan tha mauj-e-rang ka
yaa zameen se aasmaan tak sokhtan ka baab tha

na-gahaan is rang se khoonaaba tapkaane laga
dil ki zauq-e-kaavish-e-naakhun se lazzat-yaab tha

शब कि बर्क़-ए-सोज़-ए-दिल से ज़हरा-ए-अब्र आब था
शोला-ए-जव्वाला हर यक हल्क़ा-ए-गिर्दाब था

वाँ करम को उज़्र-ए-बारिश था इनाँ-गीर-ए-ख़िराम
गिर्ये से याँ पुम्बा-ए-बालिश कफ़-ए-सैलाब था

वाँ ख़ुद-आराई को था मोती पिरोने का ख़याल
याँ हुजूम-ए-अश्क में तार-ए-निगह नायाब था

जल्वा-ए-गुल ने किया था वाँ चराग़ाँ आबजू
याँ रवाँ मिज़्गान-ए-चश्म-ए-तर से ख़ून-ए-नाब था

याँ सर-ए-पुर-शोर बे-ख़्वाबी से था दीवार-जू
वाँ वो फ़र्क़-ए-नाज़ महव-ए-बालिश-ए-किम-ख़्वाब था

याँ नफ़स करता था रौशन शम-ए-बज़्म-ए-बे-ख़ुदी
जल्वा-ए-गुल वाँ बिसात-ए-सोहबत-ए-अहबाब था

फ़र्श से ता अर्श वाँ तूफ़ाँ था मौज-ए-रंग का
याँ ज़मीं से आसमाँ तक सोख़्तन का बाब था

ना-गहाँ इस रंग से ख़ूनाबा टपकाने लगा
दिल कि ज़ौक़-ए-काविश-ए-नाख़ुन से लज़्ज़त-याब था

- Mirza Ghalib
0 Likes

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari