aakhiri khat aakhiri paighaam hai | आख़िरी ख़त आख़िरी पैग़ाम है

  - Ankur Mishra

aakhiri khat aakhiri paighaam hai
mujh pe mere qatl ka ilzaam hai

so gaye mujhko jaga ke khwaab bhi
kis qadar tanhaa ye subh-o-shaam hai

khaamkhaan karta raha fariyaad main
dard dena hi to uska kaam hai

jurm saabit ho nahin paaya kabhi
may-kadon mein aana jaana aam hai

thi mohabbat yun to usko bhi magar
naam ankur bas mera badnaam hai

आख़िरी ख़त आख़िरी पैग़ाम है
मुझ पे मेरे क़त्ल का इल्ज़ाम है

सो गए मुझको जगा के ख़्वाब भी
किस क़दर तन्हा ये सुब्ह-ओ-शाम है

ख़ामख़ाँ करता रहा फ़रियाद मैं
दर्द देना ही तो उसका काम है

जुर्म साबित हो नहीं पाया कभी
मय-कदों में आना जाना आम है

थी मोहब्बत यूँ तो उसको भी मगर
नाम 'अंकुर' बस मिरा बदनाम है

  - Ankur Mishra

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari