na to kaamil na hi taameer mein hain
hamaare khwaab abhi zanjeer mein hain
abhi kuchh maskh baaki hai musavvir
abhi kuchh khaamiyaan tasveer mein hain
teri zulfon mein jitne kham hain unse
ziyaada to meri taqdeer mein hain
vasiyat mein batao kya likhoon main
tajarbe hi meri jaageer mein hain
qawafi jeest ke nibhane na denge
jo nuqte bakht ki tahreer mein hain
न तो कामिल न ही तामीर में हैं
हमारे ख़्वाब अभी ज़ंजीर में हैं
अभी कुछ मश्क़ बाक़ी है मुसव्विर
अभी कुछ ख़ामियाँ तस्वीर में हैं
तेरी ज़ुल्फ़ों में जितने ख़म हैं उनसे
ज़ियादा तो मेरी तक़दीर में हैं
वसीयत में बताओ क्या लिखूँ मैं
तजरबे ही मेरी जागीर में हैं
क़वाफ़ी जी़स्त के निभने न देंगे
जो नुक़्ते बख़्त की तहरीर में हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manmauji
our suggestion based on Manmauji
As you were reading Tasweer Shayari Shayari