chaanv mil jaaye to kam daam mein bik jaati hai
ab thakan thode se aaraam mein bik jaati hai
aap kya mujh ko nawaazeṅge janaab-e-aali
saltanat tak mere ina'am mein bik jaati hai
she'r jaisa bhi ho is shehar mein padh sakte ho
chaai jaisi bhi ho aasaam mein bik jaati hai
vo siyaasat ka ilaqa hai udhar mat jaana
aabroo koocha-e-bad-naam mein bik jaati hai
छाँव मिल जाए तो कम दाम में बिक जाती है
अब थकन थोड़े से आराम में बिक जाती है
आप क्या मुझ को नवाज़ेंगे जनाब-ए-आली
सल्तनत तक मिरे इनआ'म में बिक जाती है
शे'र जैसा भी हो इस शहर में पढ़ सकते हो
चाय जैसी भी हो आसाम में बिक जाती है
वो सियासत का इलाक़ा है उधर मत जाना
आबरू कूचा-ए-बद-नाम में बिक जाती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Munawwar Rana
our suggestion based on Munawwar Rana
As you were reading Shehar Shayari Shayari