mukhtasar hote hue bhi zindagi badh jaayegi | मुख़्तसर होते हुए भी ज़िंदगी बढ़ जाएगी

  - Munawwar Rana

mukhtasar hote hue bhi zindagi badh jaayegi
maa ki aankhen choom lijye raushni badh jaayegi

maut ka aana to tay hai maut aayegi magar
aap ke aane se thodi zindagi badh jaayegi

itni chaahat se na dekha kijie mehfil mein aap
shehar waalon se hamaari dushmani badh jaayegi

aap ke hansne se khatra aur bhi badh jaayega
is tarah to aur aankhon ki nami badh jaayegi

bewafaai khel ka hissa hai jaane de ise
tazkira us se na kar sharmindagi badh jaayegi

मुख़्तसर होते हुए भी ज़िंदगी बढ़ जाएगी
माँ की आँखें चूम लीजे रौशनी बढ़ जाएगी

मौत का आना तो तय है मौत आएगी मगर
आप के आने से थोड़ी ज़िंदगी बढ़ जाएगी

इतनी चाहत से न देखा कीजिए महफ़िल में आप
शहर वालों से हमारी दुश्मनी बढ़ जाएगी

आप के हँसने से ख़तरा और भी बढ़ जाएगा
इस तरह तो और आँखों की नमी बढ़ जाएगी

बेवफ़ाई खेल का हिस्सा है जाने दे इसे
तज़्किरा उस से न कर शर्मिंदगी बढ़ जाएगी

  - Munawwar Rana

Raushni Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Raushni Shayari Shayari