ye darveshon ki basti hai yahan aisa nahin hoga | ये दरवेशों की बस्ती है यहाँ ऐसा नहीं होगा

  - Munawwar Rana

ye darveshon ki basti hai yahan aisa nahin hoga
libaas-e-zindagi phat jaayega maila nahin hoga

share-bazaar mein qeemat uchhalti girti rahti hai
magar ye khoon-e-muflis hai kabhi mehnga nahin hoga

tire ehsaas ki eenten lagi hain is imarat mein
hamaara ghar tire ghar se kabhi ooncha nahin hoga

hamaari dosti ke beech khud-gharzi bhi shaamil hai
ye be-mausam ka fal hai ye bahut meetha nahin hoga

purane shehar ke logon mein ik rasm-e-murawwat hai
hamaare paas aa jaao kabhi dhoka nahin hoga

ye aisi chot hai jis ko hamesha dukhte rahna hai
ye aisa zakham hai jo umr bhar achha nahin hoga

ये दरवेशों की बस्ती है यहाँ ऐसा नहीं होगा
लिबास-ए-ज़िंदगी फट जाएगा मैला नहीं होगा

शेयर-बाज़ार में क़ीमत उछलती गिरती रहती है
मगर ये ख़ून-ए-मुफ़्लिस है कभी महँगा नहीं होगा

तिरे एहसास की ईंटें लगी हैं इस इमारत में
हमारा घर तिरे घर से कभी ऊँचा नहीं होगा

हमारी दोस्ती के बीच ख़ुद-ग़र्ज़ी भी शामिल है
ये बे-मौसम का फल है ये बहुत मीठा नहीं होगा

पुराने शहर के लोगों में इक रस्म-ए-मुरव्वत है
हमारे पास आ जाओ कभी धोका नहीं होगा

ये ऐसी चोट है जिस को हमेशा दुखते रहना है
ये ऐसा ज़ख़्म है जो उम्र भर अच्छा नहीं होगा

  - Munawwar Rana

Budhapa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Budhapa Shayari Shayari