"Hamesha der kar deta hoon"
hamesha der kar deta hoon main har kaam karne mein
zaroori baat kahni ho koi wa'da nibhaana ho
use awaaz deni ho use waapas bulaana ho
hamesha der kar deta hoon main
madad karne ho us ki yaar ki dhaaras bandhaana ho
bahut deerina raston par kisi se milne jaana ho
hamesha der kar deta hoon main
badalte mausamon ki sair mein dil ko lagana ho
kisi ko yaad rakhna ho kisi ko bhool jaana ho
hamesha der kar deta hoon main
kisi ko maut se pehle kisi gham se bachaana ho
haqeeqat aur thi kuchh us ko ja ke ye bataana ho
hamesha der kar deta hoon main har kaam karne mein
"हमेशा देर कर देता हूँ"
हमेशा देर कर देता हूँ मैं हर काम करने में
ज़रूरी बात कहनी हो कोई वा'दा निभाना हो
उसे आवाज़ देनी हो उसे वापस बुलाना हो
हमेशा देर कर देता हूँ मैं
मदद करनी हो उस की यार की ढारस बँधाना हो
बहुत देरीना रस्तों पर किसी से मिलने जाना हो
हमेशा देर कर देता हूँ मैं
बदलते मौसमों की सैर में दिल को लगाना हो
किसी को याद रखना हो किसी को भूल जाना हो
हमेशा देर कर देता हूँ मैं
किसी को मौत से पहले किसी ग़म से बचाना हो
हक़ीक़त और थी कुछ उस को जा के ये बताना हो
हमेशा देर कर देता हूँ मैं हर काम करने में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Muneer Niyazi
our suggestion based on Muneer Niyazi
As you were reading Qabr Shayari Shayari