ham sabko isee hairat mein mar jaana hai | हम सबको इसी हैरत में मर जाना है

  - Murli Dhakad

ham sabko isee hairat mein mar jaana hai
ki marke phir kidhar jaana hai

achha ho gar ho baichaini ka koi sabab
ye kya ki pata hi nahin kya paana hai

mere paas rakhe hain bahut se kaagaz ke phool
kya tumhaari nazar mein koi butkhaana hai

ek to gila na kar saka baarishon ka
aur us par shauk to ye hai ki nahaana hai

kya kabhi shaam ki aankhon mein tumne
doobte suraj ke dard ko pahchaana hai

हम सबको इसी हैरत में मर जाना है
कि मरके फिर किधर जाना है

अच्छा हो गर हो बैचेनी का कोई सबब
ये क्या कि पता ही नहीं क्या पाना है

मेरे पास रखे हैं बहुत से कागज़ के फूल
क्या तुम्हारी नजर में कोई बुतखाना है

एक तो गिला न कर सका बारिशों का
और उस पर शौक तो ये है कि नहाना है

क्या कभी शाम की आंखों में तुमने
डूबते सूरज के दर्द को पहचाना है

  - Murli Dhakad

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Murli Dhakad

As you were reading Shayari by Murli Dhakad

Similar Writers

our suggestion based on Murli Dhakad

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari