bistar ko jhatkna padta hai kapdo ko badalna padta hai | बिस्तर को झटकना पड़ता है कपड़ो को बदलना पड़ता है

  - Muzdum Khan

bistar ko jhatkna padta hai kapdo ko badalna padta hai
logon ko basar karne ke liye kamron se nikalna padta hai

ham un baagon mein khilte hai jin baagon mein khushboo ke liye
phoolon ko uchkana padta hai,कलियों ko masalna padta hai

pehli ko bhulaane ke liye doosri aurat laai jaati hai
ik zahr ugalne ke liye doosra zahr nigalna padta hai

vo roz kahi se zakhami ho kar aa jaati hai aur mujhe
kutto ko hatkana padta hai keeron ko kuchalna padta hai

main pal mein uske jism ki sair se faariq ho jaata hoon magar
mujhe is raftaar ko haasil karne ke liye jalna padta hai

shaadaab guzargaahon pe tere kaanto ki tijaarat hoti hai
veeraan guzargaahon pe meri aankhon ko chhalakna padta hai

taakheer se lautne waalon ki takleef bhi dohri hoti hai
haathon ko bhi malna padta hai baahon ko bhi malna padta hai

बिस्तर को झटकना पड़ता है कपड़ो को बदलना पड़ता है
लोगों को बसर करने के लिए कमरों से निकलना पड़ता है

हम उन बाग़ों में ख़िलते है जिन बाग़ों में ख़ुश्बू के लिए
फूलों को उचकना पड़ता है,कलियों को मसलना पड़ता है

पहली को भुलाने के लिए दूसरी औरत लाई जाती है
इक ज़ह्र उगलने के लिए दूसरा ज़ह्र निगलना पड़ता है

वो रोज़ कहीं से ज़ख़्मी हो कर आ जाती है और मुझे
कुत्तों को हटकना पड़ता है कीड़ों को कुचलना पड़ता है

मैं पल में उसके जिस्म की सैर से फ़ारिग़ हो जाता हूँ मगर
मुझे इस रफ़्तार को हासिल करने के लिए जलना पड़ता है

शादाब गुज़रगाहों पे तेरे काँटो की तिज़ारत होती है
वीरान गुज़रगाहों पे मेरी आँखों को छलकना पड़ता है

ताख़ीर से लौटने वालों की तक़लीफ़ भी दोहरी होती है
हाथों को भी मलना पड़ता है बाहों को भी मलना पड़ता है

  - Muzdum Khan

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Muzdum Khan

As you were reading Shayari by Muzdum Khan

Similar Writers

our suggestion based on Muzdum Khan

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari