surkh mitti ko hawaon mein udaate hue ham | सुर्ख़ मिट्टी को हवाओं में उड़ाते हुए हम

  - Naeem Sarmad

surkh mitti ko hawaon mein udaate hue ham
apni aamad ke liye dasht sajaate hue ham

tujh tabassum ki mohabbat mein hue hain barbaad
muskuraayenge tira sog manaate hue ham

la-makaani mein hamein chhod ke jaata hua tu
dasht-e-imkaan se tujhe dhundh ke laate hue ham

ai khuda tu hi bata kaise karenge inkaar
aalam-e-hoo mein tujhe haath lagaate hue ham

raqs karte hain to mitti to udegi pyaare
un ko lagte hain karaamaat dikhaate hue ham

apne hone se bhi inkaar kiye jaate hain
tere hone ka yaqeen khud ko dilaate hue ham

ab ai vehshat mein gundhi khaak rakhi chaak pe aur
apne hone ke liye chaak ghumaate hue ham

haalat-e-wajd ke haalaat bata baat ho to
haalat-e-haal mein tafreeh uthaate hue ham

khaamoshi shor hain aur shor bala ka sarmad
tum ne dekhe hain kahi shor machaate hue ham

सुर्ख़ मिट्टी को हवाओं में उड़ाते हुए हम
अपनी आमद के लिए दश्त सजाते हुए हम

तुझ तबस्सुम की मोहब्बत में हुए हैं बरबाद
मुस्कुराएँगे तिरा सोग मनाते हुए हम

ला-मकानी में हमें छोड़ के जाता हुआ तू
दश्त-ए-इम्काँ से तुझे ढूँड के लाते हुए हम

ऐ ख़ुदा तू ही बता कैसे करेंगे इंकार
आलम-ए-हू में तुझे हाथ लगाते हुए हम

रक़्स करते हैं तो मिट्टी तो उड़ेगी प्यारे
उन को लगते हैं करामात दिखाते हुए हम

अपने होने से भी इंकार किए जाते हैं
तेरे होने का यक़ीं ख़ुद को दिलाते हुए हम

अब ऐ वहशत में गुँधी ख़ाक रखी चाक पे और
अपने होने के लिए चाक घुमाते हुए हम

हालत-ए-वज्द के हालात बता बात हो तो
हालत-ए-हाल में तफ़रीह उठाते हुए हम

ख़ामुशी शोर हैं और शोर बला का 'सरमद'
तुम ने देखे हैं कहीं शोर मचाते हुए हम

  - Naeem Sarmad

Khamoshi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naeem Sarmad

As you were reading Shayari by Naeem Sarmad

Similar Writers

our suggestion based on Naeem Sarmad

Similar Moods

As you were reading Khamoshi Shayari Shayari