jis ke liye ye bazm sajaai b-sad-khuloos | जिस के लिए ये बज़्म सजाई ब-सद-ख़ुलूस

  - Nafeesa Sultana Ana

jis ke liye ye bazm sajaai b-sad-khuloos
rasm-e-wafa bhi us ne nibhaai b-sad-khuloos

aaye vo anjuman mein to raunaq si aa gai
lijye salaam-e-dast-e-hinaai b-sad-khuloos

ab ye gham-e-judai nahin sah sakungi main
ranj-o-alam se deeje rihaai b-sad-khuloos

khud ko sipurd sholoon ke main ne bhi kar diya
us ne jafaa ki aag lagaaee b-sad-khuloos

ye wasl-shab to shikwe shikaayat mein kat gai
roodaad-e-ishq us ne sunaai b-sad-khuloos

ham ne bhi aaj apni ana ka rakha bharam
us ne bhi aaj de di rihaai b-sad-khuloos

जिस के लिए ये बज़्म सजाई ब-सद-ख़ुलूस
रस्म-ए-वफ़ा भी उस ने निभाई ब-सद-ख़ुलूस

आए वो अंजुमन में तो रौनक़ सी आ गई
लीजे सलाम-ए-दस्त-ए-हिनाई ब-सद-ख़ुलूस

अब ये ग़म-ए-जुदाई नहीं सह सकूँगी मैं
रंज-ओ-अलम से दीजे रिहाई ब-सद-ख़ुलूस

ख़ुद को सिपुर्द शो'लों के मैं ने भी कर दिया
उस ने जफ़ा की आग लगाई ब-सद-ख़ुलूस

ये वस्ल-शब तो शिकवे शिकायत में कट गई
रूदाद-ए-इश्क़ उस ने सुनाई ब-सद-ख़ुलूस

हम ने भी आज अपनी 'अना' का रखा भरम
उस ने भी आज दे दी रिहाई ब-सद-ख़ुलूस

  - Nafeesa Sultana Ana

Aazaadi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nafeesa Sultana Ana

As you were reading Shayari by Nafeesa Sultana Ana

Similar Writers

our suggestion based on Nafeesa Sultana Ana

Similar Moods

As you were reading Aazaadi Shayari Shayari