jo nahin hai tera maqsad mujhe sogwaar karna
mujhe kuchh bura nahin hai tira intizaar karna
meri aankh ki nami ne tire saare bhed khole
nahin tha mera iraada tujhe sharmasaar karna
meri zeest-e-barguzida thi hisaar-e-bandagi mein
tujhe kyun pasand aaya mujhe be-hisaar karna
hain hazaaron dafn aansu meri qabr-e-aarzoo mein
na dil-e-hazeen ko tum bhi kabhi gham-gusaar karna
tire pyaar mein thi andhi ana kajarvi na samjhi
tira wa'da tod jaana yahi baar baar karna
जो नहीं है तेरा मक़्सद मुझे सोगवार करना
मुझे कुछ बुरा नहीं है तिरा इंतिज़ार करना
मिरी आँख की नमी ने तिरे सारे भेद खोले
नहीं था मिरा इरादा तुझे शर्मसार करना
मिरी ज़ीस्त-ए-बरगुज़ीदा थी हिसार-ए-बंदगी में
तुझे क्यों पसंद आया मुझे बे-हिसार करना
हैं हज़ारों दफ़्न आँसू मिरी क़ब्र-ए-आरज़ू में
न दिल-ए-हज़ीं को तुम भी कभी ग़म-गुसार करना
तिरे प्यार में थी अंधी अना कजरवी न समझी
तिरा वा'दा तोड़ जाना यही बार बार करना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nafeesa Sultana Ana
our suggestion based on Nafeesa Sultana Ana
As you were reading Manzil Shayari Shayari