maana main ik shehzaadi hoon
jo qaaidi hai
lekin mere dil mein shehzaade ki chaah ka koi teer nahin hai
meri aankhen us ki raah nahin takti hain
phir bhi dev ki qaid se chhut kar
door hare kheton neele daryaon shafqi baadlon gaate taaeron
khushbuon se lade hue jhonkon ko choona chaahoon
choomna chaahoon
un mein ghul-mil jaana chaahoon
mere shehzaade main jaanoon tu bhi to ye sab kuchh karna chahta hoga
माना मैं इक शहज़ादी हूँ
जो क़ैदी है
लेकिन मेरे दिल में शहज़ादे की चाह का कोई तीर नहीं है
मेरी आँखें उस की राह नहीं तकती हैं
फिर भी देव की क़ैद से छुट कर
दूर हरे खेतों, नीले दरियाओं, शफ़क़ी बादलों, गाते ताएरों
ख़ुशबुओं से लदे हुए झोंकों को छूना चाहूँ
चूमना चाहूँ
उन में घुल-मिल जाना चाहूँ
(मेरे शहज़ादे! मैं जानूँ तू भी तो ये सब कुछ करना चाहता होगा)
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Nahid Qasmi
As you were reading Teer Shayari Shayari