silsila sa ban gaya har shaam ke baad
koi aata hain nazar har jaam ke baad
kya tha anjaam-e-mohabbat ka fasana
yaad aata hain ye tere naam ke baad
kaam mein masroof sehar-o-shaam meri
jeeta hai shayar ye sehar-o-shaam ke baad
ai naye chehre thehar ja taaza hai zakham
ham milenge ab mere aaraam ke baad
kha chuka hoon khaana ye karna hain message
khaana khaayegi maa is paighaam ke baad
cheekhte kyun ho abhi sarkaar sarkaar
vo sunegi to kisi kohraam ke baad
सिलसिला सा बन गया हर शाम के बाद
कोई आता हैं नज़र हर जाम के बाद
क्या था अंजाम-ए-मोहब्बत का फ़साना
याद आता हैं ये तेरे नाम के बाद
काम में मसरूफ़ सहर-ओ-शाम मेरी
जीता है शायर ये सहर-ओ-शाम के बाद
ऐ नये चेहरे ठहर जा ताज़ा है ज़ख़्म
हम मिलेंगे अब मिरे आराम के बाद
खा चुका हूँ खाना ये करना हैं मैसेज
खाना खाएगी माँ इस पैग़ाम के बाद
चीख़ते क्यों हो अभी सरकार सरकार
वो सुनेगी तो किसी कोहराम के बाद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nakul kumar
our suggestion based on Nakul kumar
As you were reading Peace Shayari Shayari