vo mila hai ham ko safar yahan jo mera nahin jo tera nahin | वो मिला है हम को सफ़र यहाँ जो मेरा नहीं जो तेरा नहीं

  - Nakul kumar

vo mila hai ham ko safar yahan jo mera nahin jo tera nahin
hai ye raasta koi bad-gumaan jo mera nahin jo tera nahin

jo mohabbaton mein nahin rahe hain jo nafratoin mein shumaar hain
bana hai unhin ka hi kaarwaan jo mera nahin jo tera nahin

jahaan chaandni mein hai teergi jahaan subh se na ho raushni
rahe ham usi sar-e-aasman jo mera nahin jo tera nahin

kisi baat par na malaal hai na hi dil mein koi sawaal hai
to ye dard kaisa hai darmiyaan jo mera nahin jo tera nahin

ye udaasiyaan sabhi shaam ki ye jo mushkilein hain tamaam si
de rahe hain ham koi imtihaan jo mera nahin jo tera nahin

वो मिला है हम को सफ़र यहाँ जो मेरा नहीं जो तेरा नहीं
है ये रास्ता कोई बद-ग़ुमाँ जो मेरा नहीं जो तेरा नहीं

जो मोहब्बतों में नहीं रहे हैं जो नफ़रतों में शुमार हैं
बना है उन्हीं का ही कारवाँ जो मेरा नहीं जो तेरा नहीं

जहाँ चाँदनी में है तीरगी जहाँ सुब्ह से न हो रौशनी
रहे हम उसी सर-ए-आसमाँ जो मेरा नहीं जो तेरा नहीं

किसी बात पर न मलाल है न ही दिल में कोई सवाल है
तो ये दर्द कैसा है दरमियाँ जो मेरा नहीं जो तेरा नहीं

ये उदासियाँ सभी शाम की ये जो मुश्किलें हैं तमाम सी
दे रहे हैं हम कोई इम्तिहाँ जो मेरा नहीं जो तेरा नहीं

  - Nakul kumar

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nakul kumar

As you were reading Shayari by Nakul kumar

Similar Writers

our suggestion based on Nakul kumar

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari