dil tera ham dukhaayein bhi kaise | दिल तेरा हम दुखाएँ भी कैसे

  - Nakul kumar

dil tera ham dukhaayein bhi kaise
sochte hain nibhaayein bhi kaise

aap ko yaad aati nahin hai
aur ham ab bhulaayein bhi kaise

baat chubhti rahi hai ye dil par
apne dil ko bachaayein bhi kaise

haal apna bataana padega
yaar tujh ko bataayein bhi kaise

poochte hain mera haal vo aaj
ab ye aansu chhupaayein bhi kaise

jaam sab be-asar ho rahe hain
ham shab-e-gham bitaayein bhi kaise

दिल तेरा हम दुखाएँ भी कैसे
सोचते हैं निभाएँ भी कैसे

आप को याद आती नहीं है
और हम अब भुलाएँ भी कैसे

बात चुभती रही है ये दिल पर
अपने दिल को बचाएँ भी कैसे

हाल अपना बताना पड़ेगा
यार तुझ को बताएँ भी कैसे

पूछते हैं मिरा हाल वो आज
अब ये आँसू छुपाएँ भी कैसे

जाम सब बे-असर हो रहे हैं
हम शब-ए-ग़म बिताएँ भी कैसे

  - Nakul kumar

Maikashi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nakul kumar

As you were reading Shayari by Nakul kumar

Similar Writers

our suggestion based on Nakul kumar

Similar Moods

As you were reading Maikashi Shayari Shayari