nafrat ki aag badhne na paaye bujha ke chal | नफ़रत की आग बढ़ने न पाये बुझा के चल

  - Nazeer Banarasi

nafrat ki aag badhne na paaye bujha ke chal
uth aur prem-pyaar ki ganga baha ke chal

qadmon se apne chaand sitaare ugaa ke chal
chal aur aasmaan ko zameen par bichha ke chal

jo raah rokti ho woh deewaar dhaa ke chal
rasta agar nahin hai to rasta bana ke chal

phir haadse ne khoon diya loktantra ko
phir aayi zindagi kadam aage badha ke chal

hone lagengi pyaar ke phoolon ki baarishen
raahon se ikhtilaaf 1 ke kaante hata ke chal

farmaan waqt ka hai yah har bhaarti ke naam
matbhed saare apne dilon se mita ke chal

hoti hai shaam masjido-mandir hain saamne
ik ek deep dono mein pehle jala ke chal

hona hai sar buland agar phir jahaan mein
saakh apne pyaare desh ki unchi utha ke chal

azaad hind fauj ki maanind ai najeer
sabke qadam se apne qadam ko mila ke chal

नफ़रत की आग बढ़ने न पाये बुझा के चल
उठ और प्रेम-प्यार की गंगा बहा के चल

क़दमों से अपने चाँद सितारे उगा के चल
चल और आसमाँ को जमीं पर बिछा के चल

जो राह रोकती हो वह दीवार ढा के चल
रस्ता अगर नहीं है तो रस्ता बना के चल

फिर हादसे ने खून दिया लोकतंत्र को
फिर आई ज़िन्दगी, कदम आगे बढ़ा के चल

होने लगेंगी प्यार के फूलों की बारिशें
राहों से इख़्तिलाफ़ [1] के काँटे हटा के चल

फ़रमान वक़्त का है यह हर भारती के नाम
मतभेद सारे अपने दिलों से मिटा के चल

होती है शाम, मस्जिदो-मन्दिर हैं सामने
इक एक दीप दोनों में पहले जला के चल

होना है सर बुलन्द अगर फिर जहान में
साख अपने प्यारे देश की ऊँची उठा के चल

आज़ाद हिन्द फौज की मानिन्द ऐ ’नजीर’
सबके क़दम से अपने क़दम को मिला के चल

  - Nazeer Banarasi

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nazeer Banarasi

As you were reading Shayari by Nazeer Banarasi

Similar Writers

our suggestion based on Nazeer Banarasi

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari