insaan mein haiwaan yahan bhi hai wahan bhi
allah nigahbaan yahan bhi hai wahan bhi
khoon-khwaar darindon ke faqat naam alag hain
har shehar bayaabaan yahan bhi hai wahan bhi
hindu bhi sukoon se hai musalmaan bhi sukoon se
insaan pareshaan yahan bhi hai wahan bhi
rehmaan ki rahmat ho ki bhagwaan ki moorat
har khel ka maidaan yahan bhi hai wahan bhi
uthata hai dil-o-jaan se dhuaan dono taraf hi
ye meer ka deewaan yahan bhi hai wahan bhi
इंसान में हैवान यहाँ भी है वहाँ भी
अल्लाह निगहबान यहाँ भी है वहाँ भी
ख़ूँ-ख़्वार दरिंदों के फ़क़त नाम अलग हैं
हर शहर बयाबान यहाँ भी है वहाँ भी
हिन्दू भी सुकूँ से है मुसलमाँ भी सुकूँ से
इंसान परेशान यहाँ भी है वहाँ भी
रहमान की रहमत हो कि भगवान की मूरत
हर खेल का मैदान यहाँ भी है वहाँ भी
उठता है दिल-ओ-जाँ से धुआँ दोनों तरफ़ ही
ये 'मीर' का दीवान यहाँ भी है वहाँ भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Gaon Shayari Shayari